This blog about social network help,online help and tricks, online tips and tricks,all tech solution,setting full info,help and trick in hindi.

05 July 2018

Blog Me Robots.txt Fill Ko Kaise Add Kare - Full Jankari Hindi Me

Aj hum janege ki apne blog me robots.txt file ko kaise add ya enable kare. Agar ap apne blog ya website ki privacy ki security karna chahte ho to apne blog me Robots.txt file ko add kare. 
blog me custom robots.txt file ko kaise add kare

Yah website ki security ke liye important hoti hai kiun ki yah humari website ki gopiniyata ko banaye rakhti hai. Isliye hume apne blog par robots.txt file ko add kar lena chahiye.

Robots.txt file humari website ki private baaton ko google ya sabhi search engine se chupata hai. Yah apke blog ki har post me hota hai. Iski help se hum google, yahoo, bing etc... search ingine se apni blog ki private baaton ko chipa sakte hai.

Blog Me Robotstxt File Ka Kya Kaam Hota Hai.

Robots.txt file humare blog ko bodygard karti hai. Jab users humare blog ki post ko search karte hai to search engine humare blog par ata hai. Tab robots.txt file search engine ko batata hai ki use humari website se kya dikhana allow hai or disallow. Robots.txt file humare blog ki privacy ko secure karti hai.

Blog Ke Liye Robots.txt File Ko Kaise Banaye

Wese to bahut se websites robots.txt file banane ka dava karti hai. But bo ture nahi hoti. Kiun ki blogger ne abhi tak koi ayesi service lagu nahi ki hai. But aj me apko robots.txt fil ke code ke baare me bataunga. Jo blogger ke bataye huye hai. Agar ap khud dekhna chahte ho to blogger help forum me jake dekh sakte ho.

1. User-agent: Media partner- Google

Yah ek google adsence robot hai. Jo humare adsence code ko search engine se chupata hai. Agar ap  adsence use nahi karte ho to ise rahne de. Yah apke liye utana jaruri nahi hai. 

2. User-agent:

Yah humari website ke users ke liye hai. Iske use se hum apni website se users ko kya dikhana chahte hai. Ise  disallow hi rahne de taki humari website ki security bani rahe.

3. Disallow:/search

Is option se hum apni website ke keywords ko hide kar sakte hai. Ise hume not allow karna chahiye taki search engine ise na dikha sake.

4. Allow:

Isse hum apni website me search engine ko kya dikhana chahte hai usko batate hai. Ap ise allow hi rahne de to acha hai.

5. Sitemap

Yah subse important hai. Siteemap humari website ki new post ki jankari deta hai or post me kitane url hai. Search engine me kab kya dikhana hai or kon si post popular hai uske bare me batati hai. Sitemap ke or bhi bahut se kam hote hai. Agar ap blog ke liye robots.txt file banana chahte ho to pahle apna sitemap bana lijiye.
User-agent: Mediapartners-Google
 Disallow:
 User-agent:
 Disallow: /search
 Allow: /
 Sitemap: https://www.fullinfobook.com/sitemap.xml
Is code ko copy kar len.
Isme apko http://www.fullinfobook.com//sitemap.example ki jagah par apni website ka sitemap add karna hoga.

Blog Me Robotstxt File Ko Add Kaise Kare

Step 1. 
Subse pahle blogger.com par login kare.
how to add custom robots.txt file in blogger
1. Ab blog ki setting par jaye.
2. Search preferences  par click kare.
3. Ab Custom Robots.txt ke samne edit par click kariye.
Step 2.
blog me custom robots.txt file ko kaise add kare
1. Ab yas par click kar dijiye.
2. Yanha uper diye huye code ko dale.
2. Or ab save changes par click kar dijiye.
Ab apke blog me robots.txt file add ho chuki hai. Ab robots.txt file jo allow karega bahi search engine me dikhayega.
Note :-  Agar ap apne blog me koi chij publish nahi karna chahte ho to robots.txt file add kare. Agar apko koi blog page, post keywords, label ko search engine se nahi chupana chahte ho to robots.txt file ko add na kare
Agar apko abhi bhi robots.txt file kaise add kare me koi problem aarahi ho to comment me puche.
I Hope, apko post helpfull lagi ho agar han to ise apne social media platform me apne dosto ke sath jarur share kare.

03 July 2018

Blog Post Ke Liye Images Kaha Se Download Kare - Top 5 Free Websites

Blogger blog post ki images ko kaha se download kare and apni post ke liye free images download karne ki top 5 website ki jankari : Jab hum Blog par post likhte hai to hume usme photo dalni hoti hai. Isliye hum apni photo ko browser par search karte hai or hume mil bhi jati hai. But ap jante ho ki jis photo ko hum browser se download karte hai wo photo copyright ho sakti hai. Kiun ki us photo ka owner kabhi bhi hum par copyright photo use karne ka bava kar sakta hai. But kuch websites hai jo blogger ke liye free me photo provide karti hai. To chaliye jante hai ki apne blog post ke liye images kanha se download kare.
blog post ke liye photo kaha se download kare

Blog post ke liye photo free website se download kiun kare

Agar ap blog post ki images ko free me download karna chahte ho.But apko pata nahi hai ki bah websites kon hai to ap sahi post par hai. Kiun ki yah post  iski topic par hai. Ap is post ko last tak dhayan se padhe.
Blogger blog ke liye top 5 website jo blog post ke liye free me photo provide karti hai or isme kisi prakar ka copyright bhi nahi hota. 
Jab hum post likhte hai to us post ko seo banane ke liye hume photo ya images ki jarurt hoti hai. Tab hum photo ke liye search karte honge or hume photo mil bhi jati hogi but kai bar post ke topic ke hisab ki photo milna bahut mushkil ho jata hai. Kiun ki ayesi photo kisi vishesh websites par hi milti hai. To me aj apko unhi vishesh websites ke bare me btaunga. Janha se ap apni post and topic ke hisab se free photo download kar sakte ho.

Ye websites bahut popular hai or all bloggers inhi websites ki help lete hai. In website se hume post se related photos  and bahut category bhi mile jayegi. 

Blog post ke Liye photo khud create kare

Hume apne blog ke liye photo ko khud create karna chahiye. Aisa karne se hum kisi copyright photo ka shikar nahi honge or search engine humari self made photo se humari  post ko jaldi index karega. Isliye agar apko photo banani aati hai to ap khud hi photo ko create and edit kare.
Photo edit karne ke liye apko kayi free software mil jayenge.

blog post ke liye photo kaha se download kare

Blog ki Post Ke Liye Photo  Download Karne Ki Top 5 Website

Photo ko download karne ke bad us photo ko seo friendly banana hota hai. Seo friendly  photo apki  post ko search engine par jaldi index karti hai or apki post ko search me jaldi and top  rank par lati hai. Blog post ke liye photo  download karne ki free website.

1. Pixabay :

Yah website apke blog ke liye kai parkar ke alag-alag feature,category ki photo deti hai . Jaise apka blog blogging topic par hai to yah apko blogging se related kai photo provide karta hai. Jo ek bahut achi baat hai . Hume apni website se related or kai parkar ki photo ek hi website me mil jayegi jisse hume or kanhi jane ki jarurt nahi padegi.

Me bhi blog post ki photo ke liye isi website ka use karta hun. Ye ek bahut achi website hai.

2. Stocksnap.io :

Yah website bhi pixabay ki tarha photo provide karta hai. Is website par apko kayi paraker ki alag categories, features, topic related photo mil jayegi. Jo apki post ko acha look dati hai.
Isme apko achi quality ki photo mil jayegi. Yah free website hai or iski photo copyright nahi hoti.

3. Flicker :

Is website se apko free me photo mil jayegi. Isme apko bahut achi quality ki photos mil jayegi . Ye bhi blogger ke liye free photo provide karti hai.

4. Free Digital Photo :

Ye ek free photo dene bali website hai. Jo apke blog se related photo deti hai . Yah blogger support website hai. Yanha se ap apne blog post ke liye photo ko download kar sakte ho.

5)  Designer Pics :

Ap iske naam se hi jan sakte ho ki is website par design ki hui photo milti hai. Yanah apko full design images mil jayegi Yah blog ke liye achi unique photo design karta hai. Yah bhi ek better website ho sakti hai apke blog post photos ke liye.

Yah thi blog post ke liye photo download karne ki top 5 website. Jo apke blog ke liye unique, topic,category and good quality etc.. ki photos provide karti hai or in website ki photo copyright nahi hoti jo blogger ko ache se support karti hai. Ye top 5 website best hai blogger post ki images ke liye.
Agar apko abhi bhi free photo download ki free website me koi problem aaye to comment me puche me apki help karne ki puri koshish karunga.
Agar apko yah post helpfull lagi ho to ise apne social media platform par share kare.

28 June 2018

Facebook Account Kaise Banaye | Create New Facebook Account Hindi Me

Facebook account kaise banaye aur apni new facebook id kaise banate hai ki jankari: Facebook dunia ka sabse badha social network hai. Aj har ek parsons facebook par apna accounts banata hai. Aj ka time social network ka hai. Log social network par aj jayada active rahte hai. Jin logo ne aj ke time me facebook par account nahi banaya hai bo aj bhi  purane jamane me ji raha hai.

facebook account kaise banaye

Facebook kya hai

Yah ek social network hai. Hum facebook par apna ek account bana lete hai aur iske jariye hum apne new dost bana sakte hai aur dosto ke sat judhe rah sakte hai. Facebook dunia ka number 1 social network hai. Aur ek bat yah bilkul free hai. Hum facebook ko free me bana sakte hai. To chaliye sikhte hai ki apna new facebook account kaise banaye.

Facebook Account Kaise Banaye And How To Create Facebook Account Hindi Me

Step 1. Sabse pahle www.facebook.com par jaye

Step 2. Ab ek window show hogi. Jisme hume create an account option ko fill up karna hai.

facebook account kaise banaye

a) First apna naam fillup kare or uske samne apna surname bhi fill up kare

b) Yanha par hume do option  email id or mobile number  me se ek ko bharna hai.

c) Apna password bhare.

d) Apni birthday date bahre.

e) Yanha apni category bahre ki ap male ho ya female.

f) Ab sign up par click kare.

Step 3. Sign up click karte hi ek popup window show hogi. Jisme hume apne account ko ek code se verify karna hoga.

a) Agar apne apna mobile number dala hai to facebook apke number par ek code massage send karega. Is code ko yanah par bhare.

b) Agar apne email account dala hai to apko facebook  se ek verify ka massage  apke email inbox me aaya hoga. conformation link par click karte hi ap facebook par redirect pahunch jaoge.

Note - Ap facebook account ko uper diye gaye kisi ek option se hi verify kar sakte ho.
Ab apka facebook account ban kar teyar ho gaya hai. Ab ap apne facebook me apni profile pic dal do and other edit option ko bhi set kar do. Ab ap apne dosto and family ke sath judh sakte ho.
Agar apko facebook account kaise banaye me koi problem aati hai to comment se puche me apki help karne ki puri koshish karunga.
I Hope, apko yah post helpfull lagi ho.
Agar apko yah post achi lage to ise social media me apne dosto ke sath share jarur kare taki apki bajah se kisi ki help ho sake.

18 June 2018

Blog Post Ki Images Ko Seo Friendly Kaise Banaye

Blogger blog ki post ki images ko seo friendly kaise banaye and blogger ki images ko search engine optimization friendly kaise banaye ki jankari : Jab hum blogger par apni new post publish karte hai to search engine humari post ko index karta hai to search engine post ko index karne me humari writing par focus nahi karta. Actually search engine humari website ki back link tags and images par focus karta hai. Lagbhag sabhi search engine ayesa hi karte hai.Aj hum isi par bat karenge ki blog post images ki photo ko search engine friendly kaise kare.

post ki images ko seo friendly kaise banaye

Blog post ki photo ko seo friendly banane se search engine par humari post ko achi rank milti hai or search engine humari post ko jaldi index karta hai. Post ki photo ka search engine optimization friendly karne ka means hota hai ki hum apni photo ko is tarha se optimize kare ki jisse search engine humari photo se hi post ka pata kar le.

Seo friendly images humari post ke liye bahut important hoti hai. Tabhi search engine humari emages ko read and catch kar sakta hai or search me lata hai. Isliye hume apni post ki images ko seo friendly banana chahiye. Mapko pahle hi bata dun ki apki  1 photo post ke 1000 words ke barabar hoti hai to ap samjh hi sakte hai ki photos apki post ke liye kitni importent hoti hai. Isliye hume  apni post ko search engine par jaldi show karane ke liye apni post ki emages ko seo friendly banana hoga.

Agar apne blog bana liya hai or us par 2-3 post bhi pablish kar diye hai to ab ap soch rahe hai ki post me koi acha sa photo dalu to ap bilkul sahi soch rahe ho. Kiun ki photo humari post ke liye acha traffic lati hai or humare viewers photo ko dekh kar humare blog  post par ate hai.

Photo Ko Edit karne Ke Liye Pc And Mobile Par Kis Application Ka Use Kare.

Agar ap pc,laptop etc ko use karte ho to apke liye "photo edited" best edit software hai. Jisko ap easy se apne pc par use kar sakte ho.
But jo log mobile ka use karte hai. Unke liye picarts app subse best application hai. Iska use karna bahut asan hai. Isme apko bahut ache feature milte hai. Jo apke photo edit ke liye importent hote hai. Mostly mobile users apne photos edit karne ke liye picarts app ko use karte hai.

Blogger Post Ki Photo Ko Seo Friendly Karne Se Blog Ko Fayde

1. Search engine humari post ko jaldi index karta hai.

2. Post image viewers ko attract karta.

3. Artical ko good look milta hai.

4. Photos ka seo friendly hone se search engine par humari post ko acha rank milta hai.5. Achi image Blog ka traffic badhati hai.

Blogger Post Ki Images Ko Edit kaise Kare

1. Subse pahle apne browser par jaye or banha se apni post ke liye post related images ko download kare ya fir ap khud apne software se new photos bana sakte ho.2. Download ki hui photos ko rename kare. Photo rename par apki photo me kaya or kis par hai uske bare me likhe. Jaise ki in photo me diya hai. First photo style wrong hai, but second photo style better hai. Photo ko name dene se search engine ko humari photo ka pata chalta hai.

                                   

3. Apni photo ko edit kare. Apne software ki help se apne photo ko design kare or photo par apni post title keyword ko likhe.4. Ab  apki photo ban kar bilkul teyar hai. Ab is photo ko apni post par upload kare.


Blog Post Ki Images Ko Seo Friendly Kaise Banaye

Blogger blog ki photo ko search engine optimize friendly banane ke liye hume blogger par login karna hoga. Uske badh hume us post par jana hoga jiske liye humne apni photo banai hai. To chaliye sikhte hai


Step 1 : Subse pahle Blogger.com par log in kare.

Step 2 : Ab blogger dashboard par jaye or Post option par click kare. Ab us post ko open kare jiske liye apne photo banai hai.

Agar apne photo new post ke liye create ki hai to ap new post option par click kare or post likhe or apni photo dale.

Step 3 : Upload your image 

Option 1. Ab apko apni post par apne photo ko upload karna hai. Iske liye apko photo option par jana hoga or is par click Karna hoga.

post ki images ko seo friendly kaise banaye

Option 2. Ab Upload me choose file par click kar dijiye.

1. Choose file me jakar Apni photo ko select  kare.


2. Photo ki downloading puri ho jane ke badh
3. last me Add selected button par click kar dijiye.


Step 4 : Ab post par apki photo show ho rahi hogi. Is photo par click kare. Apke click karte hi photo ke niche seo setting open ho jayegi. Hume yanha par apne photo ki full seo frendly setting  karni hogi.
post ki images ko seo friendly kaise banaye
1. Isme photo ka size set kare. Apko photo kis size me dikhana hai.
2. Apni photo ko post par kis side rakhna hai.
3. Add caption : Yah option utna jaruri nahi hai. But ap ise bhi set karna chahte ho to isme apne blog ka name likhe jo apki photo ke niche show hoga.

4. Yah option sabse jaruri hai. Isko set karna hi asli seo setting  hai.
Yanha apko option show honge.

  • Title text: Pahle box me apni post ki title heading likhni hai.
  • alt text: Yanha par apko apni post ke title keyword ko likhna hai. Jis topic par apki post hai uske keyword likhe.
  • Yah setting seo ke liye bahut jaruri hoti hai. Ab OK par click kar dijiye.

photo ko seo friendly kaise banaye


5. Yah option apki photo ko post se remove karta hai.
Ab apki photo ki seo-friendly setting ho gayi hai. Ab ap apni post ko publish kar sakte ho or search engine apki photo se post ko jaldi index karega.
Agar apko blogger blog ki images ko seo friendly kaise banaye me abhi bhi koi problem aaye to ap comment karke puch sakte ho. Me apki help karne ki puri koshish karunga.
I hope, apko yah post helpfull lagi ho agar han to ise apne social media platform par apne friends ke sath share kare. 

Blogger Blog Ki Template Ko Change And Upload Kaise Kare

Blogger blogspot ke blog website ki template theme ko change and upload kaise kare ki jankari: Agar ap blog ki free template ko use kar rahe ho aur ap is se khush nahi ho aur apne blog me new template ko upload karna chahte ho. But ap nahi jante ho ki  blog ki template ko change and upload kaise kiya jata hai aur iski jankari  ki post search engine me dundh rahe ho to ap sahi jagah par hai yah post esi topic par hai. Ap is post ko ache se read karke aur in simple step ko follow karke apne blog ki new template ko easy se upload kar sakte ho.

 blog ki template ko change  or upload kaise kare


All bloggers chahte hai ki unka blog subse stylish,good looking and attractive ho. Jo humare readers ko acha lage. Hume blog ko stylish banane ke liye search engine se good feature and tool bali template ko dundhna hota hai. Khuch websites blogger blog ke liye free ki template provide karti hai. Jinke bare me niche bataya gaya hai. Ap in website se apne blog ke liye free template download kar sakte ho.

Blog Ki Template Blog Ke Liye Kya  Kaam Karti Hai

Me apko pahle hi bata dun ki template humare blog ko design karti hai. Yah humare blog ko online kaise dikhana hai or users ke samane kis design me show karna hai ka kaam karti hai. Template blog ki body ka kaam karti hai. Isliye hume apne blog ke liye ek achi template ko upload karna chahiye. But  newbie blogger aksar apne  blog me new version ki template upload kiye bina hi blogging start kare hai aur khuch time badh search engine se good traffic na milne par blogging ko chod dete hai.

Blogging chodne ka karan hota hai template ka old version hona. Jise search engine ignore karta hai. Humare blog ki template old hone se humara blog bhi old lagta hai. Readers old look blog ko like nahi karte aur unhe humari post padhne me maja nahi ata aur beh humare blog me aana band kar dete hai. Jisse humareblog ka traffic me lose hota hai. Good looking template humare blog ke liye unique traffic lata hai. Isliye hume appne blog ki template ko change and upload karna chahiye

Agar apne new blog bana liya hai or ap apne blog par new template ko upload karna chahte ho to me apko batana chahunga ki ap sahi kar rahe ho. Ap blog ki template ko change jarur kare or kisi ache design, look,seo bali template ko apne blog par upload kare. Blog ki template ko change karne  se humare blog ko unique, new look milta hai. Yah apke blogging safar ke liye helpfull rahta hai. Blog ko acha look milne se log humare blog par jyada aate hai aur pasand karte hai aur humare blog  ka traffic badhne lagta hai. Isliye hume blog ki template ko change and upload kar lena chahiye.

Free Template Download Karne Ki Kuch Websites

Kafi sari ayesi websites hai jo blog ke liye free template provide karti hai. But me apko top 4 free templates websites ke bare me bata deta hun. Jisse apko aasani ho jayegi .

www.gooyaatemplate.comwww.sortemplate.comwww.btemplate.comwww.webdesignrazzi.com

Ap In websites se apne blog ke liye free and custom dono parkar ki templates download kar sakte ho. Aur ek achi template download karke apne blog par upload kar sakte ho.
  • Templates ke Kuch jaruri feature (visheshta),tool,seo,mobile responsive,etc,  visheshta ko  dekh kar hi ap templates ko downloud kare. taki bad me apko templates me koi kharabi na mile.isliye pahle hi sab check kar le

Template Download Karne Se Pahle Template Ke Khuch Jaruri Feature Check Kar Le 

1. Mobile friendly:

Is feature ka humari template me hona sabse jaruri hota hai. Kiun ki India me blog par sabse jayada taffic mobile se aata hai. India me log laptop, pc, tab etc... ka kam use karti hai. Jiske karan humare blog me mobile se aane bala taffic maximum 90% hota hai. Isliye blog ki Template ka mobile friendly hona bahut important hota hai. Template ka mobile friendly hone se humari desktop version bali template mobile  version par easy se show hoti hai.

2. Seo friendly :

Blog ki tamplate full seo friendly honi chahiye. Taki humara blog search engine me jaldi show ho aur search me top rank bhi hasil kar sake. Isliye hume blog ki template ke seo feature ko dhyan me rakh kar hi template ko select karna chahiye. 

3. Fast download :

Template fast download honi chahiye. Isse humara blog and post google search engine me jaldi show hoga. Search engine apne first page me fast download template bale blog ko high rank deta hai. Search me top rank milne se hume jyada viewers milte hai. Jisse humara traffic badhta hai. Blog fast download hone se jaldi show hota hai. Jisse humare viewers ko blog par aane me koi preshani nahi hogi.

Blogger Blog Ki Template Ko Change And Uploud Kaise Kare

Apne blogger blog ki template ko change and upload karne ke liye  hume sabse pahle  blogger.com ki website me login karna hoga. Uske badh apne blog screen ke lift side dashboard par jaye.

1. Template ya theme option par click kijiy.

2. Ab screen ke right side top par Bachup/Restore par click kijiye.


blog ki template ko change and upload kaise kare


Ab ek pop-up window open hogi. Ab yanha apko 3 option show honge.
blog ki template ko change and upload kaise kare

i.   Downloud full template :

First option download full template me hume apni purani template ko download karna hoga. Kiun ki yah theme humare blog ki security ke liye use hoti hai. Agar new theme ko upload karte time error aaye to hum is download ki hui theme ko duvra se blog par upload kar sakte hai. Jisse humare blog ki security bani rahti hai.

ii.   Choose file 

Yanha hume apni download ki hui template ko select karna hai. Jisko humne  pahle hi download karke rakha hai. Is option se hum apni pasand ki download template ko choose kar sakte hai.

iii.   Ab upload file button par click kar dijiye .

Upload par click karte hi apki website blog ki template blogger par upload ho jayegi. Ab apke blog ka look, design change ho chuka hai. Ab ap dekh sakte hai ki apka blog pahle se aur bhi jyada acha, attractive dikh raha hoga.

I Hope, apko yah post helpfull lagi ho. Agar apko blogger blog ki template ko change and upload karne me abhi bhi koi problem aarahi ho to ap mujhse comment me puch sakte ho. Me apki help karne ki puri koshish karunga.Agar apko yah post helpful lagi ho to ise apne social media platform me apne dosto ke sat jarur share kare taki apki bajah se kisi aur ki help ho jaye.