Apne new blogger blog ke liye template download karne and blog ki free template download karne ki top 10 websites ki jankari: Agar ap apne new blog ke liye template download karne ke baare me soch rahe ho or ap templates download karne ki top 10 websites ki jankari dundh rahe ho to ap is post ko dhayan se padhe.
Jab ap blogger par koi naya blog bnate ho to blogger us blog ke liye free template deta hai blogger jo free template deta hai bo simple or purani hoti hai jiske karan blog ko nya look nhi milta or kai weghet, category ko blog par add nhi kiya ja sakta jisse blog ko nuksan hota hai or blog bhi purana dikhta hai jo apke viwers ko pasnd nhi ata isse apke visiters bhi kam kam ho sakte hai
apne blog ko ache design me dekhna kisko pasand nhi hota sabhi blogger apne blog ko acha design karte hai. lakin kayi new blogger apne blog ke design ki setting nhi karte jiske karan unka blog utna acha nhi lagta or unhe blog design setting ki jankari bhi kam hoti to meri yah post unhi blogger ki help ke liye hai me un blogger ko btana chahunga ki agar ap apne blog ko acha design karte hai to apke blog ka treffic badta hai aur apke visiters apke blog ko pasand karte hai
me apko btana chahunga ki jab ap blogger par apna nya blog bnate ho to ap jo template select karte ho bo bahut purani hoti hai jis karn apke blog ko purana look milta hai or ye purana look apke blog ke visitor ko pasand nhi aata aur yah apke blog ke success me badha dal sakta hai .isliye apko blog ko nya look daine ke liye apne blog ki purani template ko chang karna padega . nayi tamplate me apko kai nye feature milenge.Jo blog ko unique look dega jisse visiters apke blog par ana pasand karenge. Jo blog ki life ke liye jaruri hai
template ko blog par upload karna design setting ka hi hisa hai
new template blog ko acha look dati hai or sat-sat me blog ke liye bahut sare feature, category bhi deta hai aur kayi tamplate to full seo ready hoti hai jisse hamara blog khudbekhud seo ready ban jata hai
apne blog ko acha look dane ke liye hame achi website se template ko download karna hoga apko achi free template kis website se milegi bo jankari mene apni is post me di hai
Template Kya Hai Aur Iska Blog Par Kya Kam Hai
Template ka blog me apna alg kam hota hai. Yah blog ko design karta hai aur blog ko kis tarha se dikhana hai yah dikhta hai. Template blog ke nye featuer, category aur budget ko blog par show karta hai. Isliye apne blog ko acha design dane ke liye apko achi template hi download karni hogi. To ab ap samjh hi gye honge ki template ka blog me kya kam hota hai aur yah kiun jaruri hoti .
Apko Blog Ke Liye Template 2 Triko Se Milti Hai
Kayi template websites free me template ko dati hai. Lakin khuch ayesi bhi websites hai jo paise le kar template dati hai
Template 2 triko se milti hai
1. Custom Template :
Is trha ki templates ko paise dekar kharida jata hai
or
2. Free Template :
Is trha ki templates muft me milti hai jinhe ap free website se download karke blogger par upload kar sakte hai
Blogger Blog Ki Template Ko Change Karne Fe Fayde
1. Blog ko acha or unique look milta hai.2. Man chahi tamplate-
Ap apne blog me manchahi manpsand template ko upload kar sakte ho iske liye ap apni icha ke malik hote hai isme ap apni manmargi se koi bhi template kisi bhi website se download kar sakte ho iske liye apko puri savtantrata milti hai
3. customize template
Ap achi template ko choose karke use apne hisab se apne blog par set kar sakte ho aur apne blog par naye featuer category or whaget ko apne hisab se customize kar sakte ho
4. Achi template hone se visiter akarshit hote hai or blog par pahle se bhi adhik visiters ate hai jo blog ki health ke liye achi bat rahti hai
Top Free Template Website list for blogger blog
Yanha khuch free website hai Jo blogger blog ke liye free me template download karne ki subhida ko daite hai in sab website ke templates me bahut sare feature,categary,tool etc hai ye sabhi templates kisi bhi blog ko unigue look dati hai
1. Sora Template :
Yah website blog ke liye free template dati hai. yah site CSS3 file me bani hai jo blogger ke liye template bnane ke liye bani hai. iski templates stylist feature bali hai . Jinhe ap esly blog par setup kar sakte ho. download karne se pahle ap iski demo ko dekh le iski tamplate mobile friendly,seo ready or responsive hoti hai. yah ak bahut achi template site hai .
2. Urang Kurai :
Yah site blog ko unigue look deti hai .is site ki template me kayi nye feature hai .iski ek visheshta hai ki iski template unigue hone ke karan blog ko nya unique look deti hai
3. Deluxe Template :
Is template site ki khasiyat yah hai ki iski template me bahut cetegary hoti hai. jaise apka blog Tach blog hai to apko tach se related hi kayi template mil jayegi ya fir apka blog health se hai to apko health se related kai template mil jayegi.
iske left side me apko template tool mil jate hai agar ap 3 Clomns ko choose karna chate hai to ap isme kar sakte ho
4. PB Template :
Is site me bhi apko template ki kai cetegary mil jayegi. isme apko footer set kaise hoga or bo kis trha ka hoga iski puri detail di hoti hai. is me coulur sidebar, columns , more cetegary tamplate or others tools hote hai
5. Uong Jome :
Yah khud blogger platform par bani template website hai ap iske piche ka domain blogspot ko dekh sakte ho . yah bhi blogger ke liye free template deta hai
6. Gooyabitemplate :
Gooyabitemplates ek template website hai yah blogger ko no.1 template deta hai . is website ki sari template seo ready hai. isme keval meta tage ko set karna hota hai .iski templstes white, seo ready, ads ready,drop down menu, cleen,social bookmark ready, slideshow,post thumbnails or 2-5 tak ke cloumns footer aur mobile responsive milegi.yah template ki sabse achi website hai.
7. New Blogger Themes :
Is website par apko mobile ready, seo ready,social share option ke sat kuch or tools bhi hai. apko iske feature ko dekh kar hi template ko download karna hoga.
8. Spicy Tricks :
Apko is website me topic se related template mil jayegi.agar apka topic health care par hai to apko health se related template mil jayegi . is website me magezine,news,cars,social sharing , app, iphone ke liye template milti hai.
9. My Blogger Themes :
Yah website apko 2-4 tak ke right sidebar me 4-4 clumns deta hai.
10. Best Blogger Template :
Isme apko khuch ache feature milenge. is website ki template fast loading hai or fast loading template ko visiter bahut pasand karte hai
11.Design Scrazed :
Iske nam se hi pata chalta hai ki yah full design template deti hai agar ap full design template chahte ho to ap yanha se download kar sakte ho
12. Fresh Design :
Is website ki template website ki tarha hoti hai yah blogger, wordpress or website ke liye template dati hai agar apko blogger ki codeing nhi aati hai to ap ise apne blog par use kar sakte ho
13. Theme Forest :
Is website me apko free or custom dono parkar ki template mil jayegi. yah apko kam paiso me achi template deta hai.
To ye hai top 13 free template website Jo free me blog ke liye template deta hai. In sabhi se ap achi template download karke apne blog par add kar skate ho.
Blog par Free Template ko Install Kaise kare
Blogger sirf XML file hi accept karta hai isliye XML file me bani template hi choone
Blogger par template 2 tarha se upload kiya jata hai.
1. code2. file upload
Ap in dono option me se kisi ek se apni template ko blogger par upload kare.
Dhyan Rakhe-
Ap apni new template ko blogger par upload karne se pahle apni purani template ka back-up download karke rakhe taki ager blogger apki template ko ya fir apko bapas apni purani template par ana ho to ap duvara se usi template ko upload kar sakte ho . back-up apke blog ki template ki suraksha ke liye hoti hai
Yah hai meri post apko ye kaisi lagi or me asha krta hun ki apko meri yah post achi lagi ho aur me age bhi Hindi me tach tips or blogging ki setting se related post is blog par likhta rahunga . online help ke liye is blog par visit karte rahe
Agar ap mujh se blog ke liye template download karne ki top 10 websites me kisi parkar ki help chahte ho to comment kare and post achi lage to share jarur kare.

No comments:
Post a Comment