Blogger blogspot ke blog website ki template theme ko change and upload kaise kare ki jankari: Agar ap blog ki free template ko use kar rahe ho aur ap is se khush nahi ho aur apne blog me new template ko upload karna chahte ho. But ap nahi jante ho ki blog ki template ko change and upload kaise kiya jata hai aur iski jankari ki post search engine me dundh rahe ho to ap sahi jagah par hai yah post esi topic par hai. Ap is post ko ache se read karke aur in simple step ko follow karke apne blog ki new template ko easy se upload kar sakte ho.
Me apko pahle hi bata dun ki template humare blog ko design karti hai. Yah humare blog ko online kaise dikhana hai or users ke samane kis design me show karna hai ka kaam karti hai. Template blog ki body ka kaam karti hai. Isliye hume apne blog ke liye ek achi template ko upload karna chahiye. But newbie blogger aksar apne blog me new version ki template upload kiye bina hi blogging start kare hai aur khuch time badh search engine se good traffic na milne par blogging ko chod dete hai.
All bloggers chahte hai ki unka blog subse stylish,good looking and attractive ho. Jo humare readers ko acha lage. Hume blog ko stylish banane ke liye search engine se good feature and tool bali template ko dundhna hota hai. Khuch websites blogger blog ke liye free ki template provide karti hai. Jinke bare me niche bataya gaya hai. Ap in website se apne blog ke liye free template download kar sakte ho.
Blog Ki Template Blog Ke Liye Kya Kaam Karti Hai
Blogging chodne ka karan hota hai template ka old version hona. Jise search engine ignore karta hai. Humare blog ki template old hone se humara blog bhi old lagta hai. Readers old look blog ko like nahi karte aur unhe humari post padhne me maja nahi ata aur beh humare blog me aana band kar dete hai. Jisse humareblog ka traffic me lose hota hai. Good looking template humare blog ke liye unique traffic lata hai. Isliye hume appne blog ki template ko change and upload karna chahiye
Agar apne new blog bana liya hai or ap apne blog par new template ko upload karna chahte ho to me apko batana chahunga ki ap sahi kar rahe ho. Ap blog ki template ko change jarur kare or kisi ache design, look,seo bali template ko apne blog par upload kare. Blog ki template ko change karne se humare blog ko unique, new look milta hai. Yah apke blogging safar ke liye helpfull rahta hai. Blog ko acha look milne se log humare blog par jyada aate hai aur pasand karte hai aur humare blog ka traffic badhne lagta hai. Isliye hume blog ki template ko change and upload kar lena chahiye.
Free Template Download Karne Ki Kuch Websites
Kafi sari ayesi websites hai jo blog ke liye free template provide karti hai. But me apko top 4 free templates websites ke bare me bata deta hun. Jisse apko aasani ho jayegi .
www.gooyaatemplate.comwww.sortemplate.comwww.btemplate.comwww.webdesignrazzi.com
Ap In websites se apne blog ke liye free and custom dono parkar ki templates download kar sakte ho. Aur ek achi template download karke apne blog par upload kar sakte ho.
- Templates ke Kuch jaruri feature (visheshta),tool,seo,mobile responsive,etc, visheshta ko dekh kar hi ap templates ko downloud kare. taki bad me apko templates me koi kharabi na mile.isliye pahle hi sab check kar le
Template Download Karne Se Pahle Template Ke Khuch Jaruri Feature Check Kar Le
1. Mobile friendly:
Is feature ka humari template me hona sabse jaruri hota hai. Kiun ki India me blog par sabse jayada taffic mobile se aata hai. India me log laptop, pc, tab etc... ka kam use karti hai. Jiske karan humare blog me mobile se aane bala taffic maximum 90% hota hai. Isliye blog ki Template ka mobile friendly hona bahut important hota hai. Template ka mobile friendly hone se humari desktop version bali template mobile version par easy se show hoti hai.
Blog ki tamplate full seo friendly honi chahiye. Taki humara blog search engine me jaldi show ho aur search me top rank bhi hasil kar sake. Isliye hume blog ki template ke seo feature ko dhyan me rakh kar hi template ko select karna chahiye. 2. Seo friendly :
3. Fast download :
Template fast download honi chahiye. Isse humara blog and post google search engine me jaldi show hoga. Search engine apne first page me fast download template bale blog ko high rank deta hai. Search me top rank milne se hume jyada viewers milte hai. Jisse humara traffic badhta hai. Blog fast download hone se jaldi show hota hai. Jisse humare viewers ko blog par aane me koi preshani nahi hogi.
Blogger Blog Ki Template Ko Change And Uploud Kaise Kare
Apne blogger blog ki template ko change and upload karne ke liye hume sabse pahle blogger.com ki website me login karna hoga. Uske badh apne blog screen ke lift side dashboard par jaye.
1. Template ya theme option par click kijiy.
2. Ab screen ke right side top par Bachup/Restore par click kijiye.
First option download full template me hume apni purani template ko download karna hoga. Kiun ki yah theme humare blog ki security ke liye use hoti hai. Agar new theme ko upload karte time error aaye to hum is download ki hui theme ko duvra se blog par upload kar sakte hai. Jisse humare blog ki security bani rahti hai.
ii. Choose file
Yanha hume apni download ki hui template ko select karna hai. Jisko humne pahle hi download karke rakha hai. Is option se hum apni pasand ki download template ko choose kar sakte hai.
iii. Ab upload file button par click kar dijiye .
Upload par click karte hi apki website blog ki template blogger par upload ho jayegi. Ab apke blog ka look, design change ho chuka hai. Ab ap dekh sakte hai ki apka blog pahle se aur bhi jyada acha, attractive dikh raha hoga.
I Hope, apko yah post helpfull lagi ho. Agar apko blogger blog ki template ko change and upload karne me abhi bhi koi problem aarahi ho to ap mujhse comment me puch sakte ho. Me apki help karne ki puri koshish karunga.Agar apko yah post helpful lagi ho to ise apne social media platform me apne dosto ke sat jarur share kare taki apki bajah se kisi aur ki help ho jaye.



No comments:
Post a Comment