This blog about social network help,online help and tricks, online tips and tricks,all tech solution,setting full info,help and trick in hindi.

24 July 2018

Blogger Me Custom Robots Header Tags Ki Setting Kaise Kare

Aj me apko bataunga ki apne blogger blog me custom robots header tags ki setting kaise kare. Yah ek seo setting hai isse ap apne blog me users ko kya dikhana allow karte hai or disallow. Custom robots header tage iske bare me search engine ko batata hai. To chaliye sikhte hai apne blog me custom robots header tage ki setting kaise kare.
blogger me custom robots header tags ki setting kaise kare
Custom robots header tags seo ka hi ek part hai. Isko enable karne se humare blog ka traffic increase hota hai. Apne blogger me custom robots header tage ki setting karni bahut easy hai. Isko ap niche diye huye khuch easy step ko follow karke apne blog me enable kar sakte ho.

Custom Robots Header Tags Kya Hota Hai

Jab hum new post publish karte hai to uske sath khuch bad link bhi ban jate hai. In bad link ko search engine index na kare isliye blogger ne custom robots header tags ka feature rakha hai.  Custom robots header tags ke use se hum apni post ke good link ko search engine me index kar sakte hai.

Blogger Me Custom Robots Header Tags Ki Setting Karna Kiun Jaruri Hai

Yah robots tags search engine ko batate hai ki use apke blog se kya index karna allow hai or disallow. Kiun search engine ek robots hai. Isliye apko search engine ko apne blog ki direction deni hoti hai taki yah apke blog ko index kar sake jise ap allow karte ho.
Custom robots tags ko enable karne se yah humare blog ke duplicate content and bad post url ko search engine me index hone se rokta hai. Isliye apne blogger blog me custom robots header tags  ko enable kare.

Custom Robots Headers Tags Ke Bare Me Jane

Yeh tags apko blog ki har post me enable karne ko milenge. In tags ko enable karne se pahle apko inke bare me detail me janana hoga ki yah tags kya hote hai or blog post me inka use kaise hota hai.

1. all

Is tag ko enable karne se robots search engine me apki har post ko freely hokar index karega. Yah kisi bhi page ko bina kisi roke-tok ke index karega.
Wese yah tag enable hi rahta hai. Agar ap ise enable na kare to fir bhi yah default set rahta hai.

2. noindex

Is tag ke use karne se ap apne pages ko index hone se rok sakte ho. Robots apke pages ko search engine me index hone nahi deta.
Ap jis page ko search engine me index nahi karna chahte ho to uske  liye noindex tag ka use kare.

3. none

none tag ke use karne se search engine apke page ko na index karta  hai or na hi  follow. Yah apke page ko completely ignore karta hai.
Is tag ko aap outbound links & affiliate links me use kar sakte ho. Jaise ki other sites ki links jinko aap apni site me mention to karte ho but backlinks nahi dena chahte.

4. noarchive

Apki website ka caches data google server par available rahta hai. But jab apki site  unavailable hoti hai to tab koi bhi apki caches file ko open karke apki website access kar sakta hai.
Agar ap apni website ke caches pages ko show nahi karana chahte ho to ap noarchive tag ka use kar sakte ho.

5. nosnippet

nosnippet tag search result me apke title ke niche description ko show karta hai.
Agar ap is description ko search result me dikhana nahi chahte ho to nosnippet tag ka use kar sakte hai.

6. noodp

Ise open directory project kahte hai jo search engine me apke title or snippet ko show karta hai.
Agar ap odp se apni site ke search result  remove karna chahte ho to noodp tag ka use kare.
me suggest karunga ki ap odp tag ko use kare taki apki post sahi tarah se search engine me show kar sake.

7. notranslate

Is tag ke use hone se  apki site ko translate kiya ja sakta hai. Isliye site translate se bachne ke liye notranslate tag ka use kare. Taki search engine se apki site ko translate karne bala option remove ho sake.

8. noimageindex

Is tag ko use karne se ap apni site images ko search engine result me show hone se roke sakte hai. noimageindex tag use karne se search engine apki post images ko index nahi karta.

9. unavailable_after

Kuch ayesi post hoti hai jo temporary khuch time ke liye search engine par show hoti hai. Jinko badh me search engine result se remove karna hota hai.
Blogger ne iske liye unavailable tag rakha hai jo thode samaye ke liye apki post search result me rakhta hai or uske badh remove kar leta hai. Agar ap bhi kisi post ko search result me thode time ke liye rakhna chahte ho to unavailable_after tag ka use kare.
Yeh custom robots header tag apko blog ki har post me enable karne ko milenge. Janha se ap apni post ke hisab se in tags ka use kar sakte ho.
To chaliye ab jante hai ki apne blogger blog me custom robots header tags ki setting kaise kare.

Blogger Me Custom Robots Header Tag Ki Setting Kaise Kare

Step 1.

Sabse pahle blogspot.com par login kare. Ab blog ke left side dashboard par jaye.
1. Setting par jaye.
2.Ab search preferences ko open kare
3.Ab crawlers and indexing option par jaye. Yanha par Custom robots header tags option ke samne edit par click kijiye.

Step2.

Ab ap yas par click kare.Yas par click karte hi apke samne robots tags show honge. Apko in tags ko is tarha se set karna hai.
blogger me custom robots header tags ki setting kaise kare

1. Home Page :

Home page par apko all and noodp tags par tick lagana hai. 

2. Archives and Search pages :

Is par ap noindex and noodp tags par tick lagaye.

3. Default for Post and Pages :

Yanha ap all and noodp tags par tick lagaye.

4. Ab ap Save Changes option par click kar dijiye.

Ab apke blogger me custom robots header tags ki setting ho gayi ho. Ap uper di hui assan setting ko step by step follow karke apne blog me custom robots header tags laga sakte ho.
Agar apko Blogger me Custom robots header tag ki setting kane me abhi bhi koi problem aye to comment karke puch lijiye.
I Hope, apko post helpfull lagi ho agar han to is post ko apne social media platform me apne friends ke sath jarur share kare. 



No comments:

Post a Comment