Aj hum janege ki apne blog me robots.txt file ko kaise add ya enable kare. Agar ap apne blog ya website ki privacy ki security karna chahte ho to apne blog me Robots.txt file ko add kare.
Yah website ki security ke liye important hoti hai kiun ki yah humari website ki gopiniyata ko banaye rakhti hai. Isliye hume apne blog par robots.txt file ko add kar lena chahiye.
Robots.txt file humari website ki private baaton ko google ya sabhi search engine se chupata hai. Yah apke blog ki har post me hota hai. Iski help se hum google, yahoo, bing etc... search ingine se apni blog ki private baaton ko chipa sakte hai.
Blog Me Robotstxt File Ka Kya Kaam Hota Hai.
Robots.txt file humare blog ko bodygard karti hai. Jab users humare blog ki post ko search karte hai to search engine humare blog par ata hai. Tab robots.txt file search engine ko batata hai ki use humari website se kya dikhana allow hai or disallow. Robots.txt file humare blog ki privacy ko secure karti hai.
Blog Ke Liye Robots.txt File Ko Kaise Banaye
Wese to bahut se websites robots.txt file banane ka dava karti hai. But bo ture nahi hoti. Kiun ki blogger ne abhi tak koi ayesi service lagu nahi ki hai. But aj me apko robots.txt fil ke code ke baare me bataunga. Jo blogger ke bataye huye hai. Agar ap khud dekhna chahte ho to blogger help forum me jake dekh sakte ho.
1. User-agent: Media partner- Google
Yah ek google adsence robot hai. Jo humare adsence code ko search engine se chupata hai. Agar ap adsence use nahi karte ho to ise rahne de. Yah apke liye utana jaruri nahi hai.
2. User-agent:
Yah humari website ke users ke liye hai. Iske use se hum apni website se users ko kya dikhana chahte hai. Ise disallow hi rahne de taki humari website ki security bani rahe.
3. Disallow:/search
Is option se hum apni website ke keywords ko hide kar sakte hai. Ise hume not allow karna chahiye taki search engine ise na dikha sake.
4. Allow:
Isse hum apni website me search engine ko kya dikhana chahte hai usko batate hai. Ap ise allow hi rahne de to acha hai.
5. Sitemap
Yah subse important hai. Siteemap humari website ki new post ki jankari deta hai or post me kitane url hai. Search engine me kab kya dikhana hai or kon si post popular hai uske bare me batati hai. Sitemap ke or bhi bahut se kam hote hai. Agar ap blog ke liye robots.txt file banana chahte ho to pahle apna sitemap bana lijiye.
User-agent: Mediapartners-Google Disallow: User-agent: Disallow: /search Allow: / Sitemap: https://www.fullinfobook.com/sitemap.xml
Is code ko copy kar len.
Isme apko http://www.fullinfobook.com//sitemap.example ki jagah par apni website ka sitemap add karna hoga.
Blog Me Robotstxt File Ko Add Kaise Kare
Step 1.
1. Ab blog ki setting par jaye.
2. Search preferences par click kare.
3. Ab Custom Robots.txt ke samne edit par click kariye.
1. Ab yas par click kar dijiye.
2. Yanha uper diye huye code ko dale.
2. Or ab save changes par click kar dijiye.
Ab apke blog me robots.txt file add ho chuki hai. Ab robots.txt file jo allow karega bahi search engine me dikhayega.
Note :- Agar ap apne blog me koi chij publish nahi karna chahte ho to robots.txt file add kare. Agar apko koi blog page, post keywords, label ko search engine se nahi chupana chahte ho to robots.txt file ko add na kare
Agar apko abhi bhi robots.txt file kaise add kare me koi problem aarahi ho to comment me puche.
I Hope, apko post helpfull lagi ho agar han to ise apne social media platform me apne dosto ke sath jarur share kare.










