This blog about social network help,online help and tricks, online tips and tricks,all tech solution,setting full info,help and trick in hindi.

17 June 2018

Blog Ka Traffic Kaise Badhaye Top Most Useful 10 Seo Tips


Apne blog ka high traffic kaise badhaye top most usefull 10 seo tips se. Agar apka blog hai or bah search engine se apko acha traffic nahi deta to ap is post me diye top most usfull 10 seo tips ko follow kare. In seo tip se ap apne blog or post ke liye search engine result se high traffic la sakte ho. To chaliye sikhte hai apne blog ke liye high treffic kaise laye.
blog-ka-traffic-kaise-badhaye-top-most-useful-10-seo-tips

Blog ke success hone ke liye blog par high  traffic ka hona bahut jaruri hota hai.  Traffic ke bina koi bloggers blog me success nhi pa sakta , bhale hi bo  blog blogger par ho ya fir wordpress par. ,"blog par high traffic nhi to blog me success nhi" me is bat ko manta hun. Matlav traffic blog ki jaan hoti hai.

Agar blog hindi me ho to high traffic lana  or  bhi mushkil ho jata hai. Kiun ki  hindi blog ka most target india hi hota hai or  hindi blog par 80% traffic  India se hi milta hai. Bahut se new bloggers blogging ko isliye chod dete hai kiun ki unke blog par high traffic nhi ata or lekin khuch bloggers aise  bhi hai jo bahut time se blogging kar rahe hai fir bhi unke blog par acha traffic nhi hai

Aisa kiun hota hai, kya  newbi bloggers  blogging seo tips ko ache se follow nhi karte, Yas hum yahi par sabse badi galti karte hai ki hum apne blog par seo ko sahi tarha se use nhi karte. Agar hum blogging me high traffic pana chahte hai to hume in seo tips ko achi tarha se follow karna chahiye

Ab yah sawal peda hota hai ki kya new hindi blog par high traffic kaise badhaye.ye sawal sab readers puchna chahte honge ki kya hindi blog par bhi ham high traffic pa sakte hai ?  Ji han bilkul pa sakte hai.

Khuch aise hindi bloggers  hai jinhone blogging me bahut kam samye me high traffic hasil kiya hai Or blogging me success  ko hasil kiya hai. In  hindi bloggers ne itni jaldi success kaise payi , Inhone apne blog par high traffic kaise laya  or high traffic ke liye kin-kin seo tips ka use kiya. Is sab ki jankari is post me di gyi hai bo sab btaunga taki meri mahant jaya na jaye  Or ap in tips ko apne blog par  use karke apne blog par high traffic pa sake.

New Hindi Blog Par High Traffic Paye Others Sources Se 

New blog par high traffic lana mushkil kam hai lekin na mumkin nhi. Blog par high  traffic lane ke liye  humare pas kayi tarike hai .Jinme sabse better  tarika  social  networking ka hai. Social networking world famas hai.isme apka network jitna jyada fela hoga apko utna jyada fayda hota hai. . Blog ka traffic badhane ke liye aap social networking ka use kar sakte ho. Is par apko true viewers milte hai social network me aap facebook, twitter ko use kare  kiun ye do social media yani logo me bahut famas  hai. Iske jariye ham top bloggers ko  follow kar sakte hai or asani se apne blog ke liye naye viewers bhi bna sakte hai new viewers milne se humare blog ka traffic bhi badhta hai.


Blog Par  Traffic Kaise Badhaye Top Most Useful 10 Seo Tips


Hindi bloggers apne blog par  high traffic pane ke liye kon-kon se seo tips   follow karte hai.  Is post  me Un most useful 20 seo  tips ke bare me  btaya hai. in tips ko  follow karke  apne hindi blog par traffic badhaye. Apne new blog par high traffic kaise badhaye most useful 20 seo tips  is tarha se hai.

   1.      Choose Better Blogging Platform 


Blog bnane ke liye better platform choose karna  sabse important hota  hai ki ap blogging ke liye kis platform ka use karte ho . Jab mene blog bnane ki sochi to mere samne bhi yahi sawal aya ki me kis platform ko use karu .Mene iske bare me dusre bloggers se pta kiya to unohne mujhe google ki free service blogger.com or wardpress.com ko use karne ko kaha.


Ab yah sochna tha ki in dono me se kon sabse better platform  hai jis par apna blog bnaya jaye. Mere dimag me ik idea aya kiu na pahle google ki free service blogger platform ko use kiya jaye. Fir mene blogger platform ko use karke  apna free  blog www.helpwhowant.blogspot.com bnaya  Or  mene dekha ki yah platform baki sab free platform se sabse better hai. Blogger par free blog bna kar ham bo sab kar sakte hai jo blogging ke liye jaruri hai isme bo sab feature hai jo blog ko useful bnate hai. Agar ap bhi apna blog bnane ki soch rahe ho to me apko blogger par blog bnane ko kanhunga. Kiun ki yah bahut  easy hai or free bhi. 

Wardpress platform baki sabhi platform se 1000 guna better hai. kiun ki hume is platform par  puri freedum milti hai  or is par hum apni icha se khuch bhi setting ,tag, changing kar sakta hai. Lekin wordpress platform  free nhi hai yah hume apni seba free me nhi deta.  Isko use karne ke liye hume hosting leni padti hai . Hosting ke  liye paise dene hote hai  tabhi hum wordpress ki seba ko pa sakte hai. Is platform ko blogging me apna experience badne ke bad use kare.  Lekin starting me blogger.com platform ko hi use kare. 


Me bas  apko itna hi kahunga ki  agar ap blogging karna chahte ho,blogging me apna experience badhana chahte ho to pahle blogger platform ko use kare Or jab blogging me apka experience badh jaye tab  ap wordpress ko use kar lena.

Blogger platform  bilkul free hai or yah apni sari seba free me deta hai.Yah itna simple hai ki hum iska use badi asani se kar sakte hai or yah hume blogging ki all   knowleghe deta hai. Jisse  blogging me humara experience badh jata hai.

Jab blogging me   experience  badh jaye tab ap apne blog ko blogger.com se wordpress me move  kar sakte ho


   2.        Select Best Unique Name & Url 



Apne blog ka name unique or catchy rakhe jo logo ko easy jaldi se sumjh me aa jaye . blog name unique hona chahiye.  blog name unique hone se readers ko humara blog nya lagta hai  or aisa name yad me bhi rahta hai.  matlav blog name aisa hona chahiye jo pahle kisi ne na rakha ho or dusre kisi blog name se milta-julta na ho matlav bilkul different ho.

Blog name ko apne blog topic se related name se hi rakhe matlav jis topic par ap apna blog bnana chahte ho usi topic se related  apna blog ka name rakhe.  matlav agar apka blog healthcare ke topic par hai to apke blog name  bhi healthcare se realed name se hi hona chahiye.aisa karne se apke reader ko pahle hi pta chal jata hai ki ap apne blog me kis tarha ki jankari dete ho. yah bat readers ko pasand aati hai or bo  hamare blog par ana pasand karte  hai . Isse hume humare readers milte hai or hume apna high traffic milta hai.

Best blog name hone se humare blog ka url address bhi best  lagta hai. best url name readers ko padne me easy hota hai or yad bhi rahta hai. isliye apne blog par treffic badhane ke liye apne blog ka name & url unique , best or easy  rakhe.

  3.      Social Promote 

Apne blog ko social media par share kare. social media  blog par high traffic pane ka sabse easy rasta hai. social media  se hum apne blog ke liye ture readers  pa sakte hai. social media par twiiter facebook sabse famous hai  ap  blog ko in me  share karke apne blog ke liye high traffic pa sakte ho. in do ke alava bhi bahut aisi site hai jo social media me bahut famous hai. social media world famous hai  ager hum apne blog ko is  par share karte hai to hume apne blog ke liye readers  world se milte hai jo ek achi bat hai Or  isse humara blog world famous ho sakta hai . isliye apne hindi blog par world se readers or high taffic pane ke liye apne blog ko social media par  share & promote kare.

   4.      Collect Back Links 

Blog par high traffic pane  ke liye hume dussre blog site se  apne blog  ke liye back link ko collect karna chahiye. hume  apne blog le liye back links ko  humesha top blog se hi collect karne chahiye kiun ki aisa karne  se hume un blog ke back links ke sat-sat unke readers bhi milte hai.

Back links ko jaldi hum tabhi pa sakte jab koi top bloggers apne blog par post share karta hai or hum unke blog par sabse pahle 1-4 no. par comment karte hai  or kisi readers ki help karte hai to hume us site se  back links milte hai. jo humare blog ka traffic badhate hai

  5.     Write Full Detailed Long  Articles 

Full detail long articles likhne me apna pura time de kiun ki readers ko full jankari pasand ati hai readers aadi aduri jankari pasand nhi karte. readers blog par apni puri information ke liye aate ager ap unhe full detail articles likh kar nhi doge to be apke blog par aana hi chod denge. isliye ap apne articles me full jankari de taki readers ki help ho sake 

Apne blog articles ko long me likhe ho sake apni post par  1500-2000 shabdo ka use kare
long articles likhne se apka blog search engine me top par show hota hai or ap yeh samjh hi sakte ho ki jo post top par hoti hai usko kitna traffic milta hai. world me  90 %  log search  ingine ki top ki post par hi click karte hai. isliye apni post ko long or full detail me  likhe

  6.     Write Quality Articles 

Apne blog par high traffic pane ke liye hume  quality articles likhne chahiye. ager hum apne blog par 1 bhi quality articles likhte hai to humara 1 quality articles  bhaki 100 articles ke braber hota hai. agar hum quality articles likhte hai to humare blog ko high  readers milte hai jo humare blog par high traffic late hai

Quality articles se matlab aisi post jiski  logo ko jayada jarurt hai or search engine me sabse jyada search ki ja rahi ho aisi poast se hai. isliye hume apne blog par  quality articles likhne chahiye.


  7.     Don't Forget SEO 

Seo ko kabhi na chode ye humare blog ki jaan hoti hai inke bina humari post search me top par nhi aa sakti. kiun ki seo hi ek aisa trika hai jinke davaraa hum apni post ko search me top par la sakte hai. kai nebie blogger  seo ko jhod dete or apne blog post ko seo nhi karte jinka unhe nuksan udhana padta hai me apko bta dun agar ap seo par focus nhi karoge to ap blogging me kabhi sufal nhi ho sange  kiun ki seo hi ek jariya hai jiske sahare hum apne blog ko search me high rank par laa sakte hai or seo hone se post ko jyada readers milte hai jo humare blog traffic ko badhate hai
Esliye hume apni post ko likhte time seo par full focus  karna chahiye or apne blog par keval full seo post hi pablish kare.

  8.     Focus One Particular Area 

Matlav apne blog par keval kisi ek vishesh topic par hi information share kare.  Kuch  bloggers apne blog par bahut topic par information dete hai. ager hum sab jankari 1 blog par share karte hai  to hume apne blog ke liye regular  readers nhi milte. matlab  ager humari post tech  topic par hai or hum usme health, supports etc topic ki information ko bhi share karte hai aise blog ko regular readers milna bahut mushkil hota hai. apne kabhi socha hai ki humare top bloggers kisi ek topic par hi information kiun date hai. bo isliye kiun ki unhe regular readers chahiye hote hai.

Isliye ager ap bhi apne blog par high traffic pana chahte ho to kisi ek particular topic par hi post share kare jisse hume regular reders milenge  or humara  traffic bhi badega 

  9.     Use High Ranking English Words 

Apni post par   high ranking english words ko hi use kare.high ranking words ko use karne se humari blog search me top par aati hai jab ap koi post likhte ho to ap us post se releted english words ko search kare jo words search par sabse uper top par aa rahe ho un words ko apni post me add kare 

High ranking word ko post par keval 1.5% se jyada istemal na kare ap soch rahe honge ki in word ko kanha par use kare me bta deta hun in top ranking words ko tital,search description, H1,H2,H3 or puri post me add kare ( janha jaruri ho bahi use kare matlab post me high ranking words 1.5% se jyada use na kare) . post ke starting or ending me bhi in words ka paryog kare ye ek seo tips hai inhe follow karne se apko bahut labh hoga. post search me top par aati hai jis se blog par  readers aate hai or jisse apke blog ko high traffic milta hai

Isliye apni post me high reanking english words ko jarur add kare.

  10.     Don't Make Many Blogs 

Bahut se bloggers ka bloging me success na hone ke piche yahi karn hai ki beh  bahut jayeda blog bna lete hai ,jab new bloggers, apna new blog bnate hai hai to beh  uske sat  khuch aur blogs bna lete hai. fir blogging ko start karte hai beh sochte hai ki , jitne jyada blog bnayenge utni jyada earning karenge. beh sochte hai ki beh blogging me asani se success ho jayenge likin aisa nhi hai blogging me bahut blogs me success hona bahut mushkil hota hai isliye ap is khabab ko chod de ki blogging me asani se success ho sakte  isliye agar ap ek blog bnate ho to apka focus ek hi blog par rahega or agar ap uspe acha traffic late ho to ap usse  achi earning bhi kar paoge. 

Aisa na bilkul na kare,  keval  1 hi blog bnaye us par puri mehnat se kam kare jitni mehnat ap bahut blog bnakar un par karne ki sich rahe the agar ap utni hi mehant kisi ek blog par karoge  to apko blogging me success hone se koi nhi rok sakta.
Final words
Last final words me apko bas itna hi kaunga ki ap uper diye huye in top most useful 10 tips  ko dhayan se inko use karoge to ap apne blog par high traffic la sakte or  blogging me success ho sakte ho.
Other Blogging help ke liye is blog par visit karte rahe. Is blog par apko blogging  se related posts milegi.
Agar apko apne blog ka traffic kaise badhaye top most useful 10 seo tips me koi problem aye to comment karke puche.

I Hope. apko post  achi lagi ho agar han to is post ko social media platform me apne friends ke sath jarur share kare.

No comments:

Post a Comment