This blog about social network help,online help and tricks, online tips and tricks,all tech solution,setting full info,help and trick in hindi.

Showing posts with label Social Network. Show all posts
Showing posts with label Social Network. Show all posts

28 June 2018

Facebook Account Kaise Banaye | Create New Facebook Account Hindi Me

Facebook account kaise banaye aur apni new facebook id kaise banate hai ki jankari: Facebook dunia ka sabse badha social network hai. Aj har ek parsons facebook par apna accounts banata hai. Aj ka time social network ka hai. Log social network par aj jayada active rahte hai. Jin logo ne aj ke time me facebook par account nahi banaya hai bo aj bhi  purane jamane me ji raha hai.

facebook account kaise banaye

Facebook kya hai

Yah ek social network hai. Hum facebook par apna ek account bana lete hai aur iske jariye hum apne new dost bana sakte hai aur dosto ke sat judhe rah sakte hai. Facebook dunia ka number 1 social network hai. Aur ek bat yah bilkul free hai. Hum facebook ko free me bana sakte hai. To chaliye sikhte hai ki apna new facebook account kaise banaye.

Facebook Account Kaise Banaye And How To Create Facebook Account Hindi Me

Step 1. Sabse pahle www.facebook.com par jaye

Step 2. Ab ek window show hogi. Jisme hume create an account option ko fill up karna hai.

facebook account kaise banaye

a) First apna naam fillup kare or uske samne apna surname bhi fill up kare

b) Yanha par hume do option  email id or mobile number  me se ek ko bharna hai.

c) Apna password bhare.

d) Apni birthday date bahre.

e) Yanha apni category bahre ki ap male ho ya female.

f) Ab sign up par click kare.

Step 3. Sign up click karte hi ek popup window show hogi. Jisme hume apne account ko ek code se verify karna hoga.

a) Agar apne apna mobile number dala hai to facebook apke number par ek code massage send karega. Is code ko yanah par bhare.

b) Agar apne email account dala hai to apko facebook  se ek verify ka massage  apke email inbox me aaya hoga. conformation link par click karte hi ap facebook par redirect pahunch jaoge.

Note - Ap facebook account ko uper diye gaye kisi ek option se hi verify kar sakte ho.
Ab apka facebook account ban kar teyar ho gaya hai. Ab ap apne facebook me apni profile pic dal do and other edit option ko bhi set kar do. Ab ap apne dosto and family ke sath judh sakte ho.
Agar apko facebook account kaise banaye me koi problem aati hai to comment se puche me apki help karne ki puri koshish karunga.
I Hope, apko yah post helpfull lagi ho.
Agar apko yah post achi lage to ise social media me apne dosto ke sath share jarur kare taki apki bajah se kisi ki help ho sake.

17 June 2018

Facebook Page kaise Banaye Jane Hindi Me

Hello friends, Agar ap facebook par page kaise banaye ko search kar rahe ho to ap sahi jagah par ho kiun ki yah post Apne facebook page ko kaise banaye is par hai. Aksar facebook users apni khuch information ko kisi main medium se logo tak pahunchana chahte honge. To unke liye facebook ka page banana important hota hai. Kiun ki facebook page se hum apni important jankari ko lakho logo tak phuncha sakte hai. To chaliye sikhte hai ki apne facebook page kaise banaye ki jankari hindi me.

facebook page kaise banaye jane hindi me
Dosto ap jante hi honge ki hum apne facebook account par only 5000 logo ko friends bana sakte hai. But facebook page wo jariya hai jiski help se hum lakho logo se connect ho sakte hai.

Facebook Page Kaise Banaye Jane Hindi Me

Step 1.

Subse pahle apne facebook par log in kare.


facebook page kaise banaye jane hindi me

1. Ab screen ke right side arrow option par jaye or click kare.
2. Yanha par create page option par click kare.

Step 2. 

Ab is tarha ka page open hoga.
facebook page create kaise kare jane hindi me

1. Busness or Brand : Is option se hum apne bussness or kisi brand ka page bana sakte hai. Agar apka bhi koi bussness ya brand hai to ap is option ko select karne ke liye niche get star button par click kare.
2.Community or Public Figure : Is option se humari website par wo bhi post kar payenge jo is comminity me hinge. 
Agar apne website ke liye page banana hai to busness or brand ko chone. Ab get start button par click kare.

Step 3. 

Get start par click karte hi ayesa  page show hoga.
facebook page create kaise kare jane hindi me

1. Apna page name bhare.
2. Apka page jis category ka hai use likhe. Uske badh apko option show honge unme se ek ko choose kare
3. Ab continue button par click kare.

Step 4.

Ab ek popup window show hogi. Ispar hume apne page ke liye profile photo add karni hogi.
how to create facebook page

1. Upload button par click karke ek achi photo ko select kijiye or upload kar dijiye.
2. Agar ap abhi photo upload nahi karna  chahte ho to Skip button par click kar dijiye.

Step 5. 

Next page par hume apne page ke liye cover photo ko add karna hoga.
how to create facebook page

1.Upload button par jaye or yanha se achi photo ko choose karke upload kar dijiye.
2. Agar abhi photo add karna nahi chate ho to skip par click kar dijiye.

Step 6.

Skip par click karte hi ap apne facebook page ke home page par phunch jaoge. Ab apko yanha invite friends ko baare me phucha jayega. 
facebook page kaise banaye jane hindi me

Agar ap apne page ke liye abhi friends invite nahi karna chate ho to koi ni ap badh me bhi kat sakte ho.

Step 7.

Ab hume facebook welcome massage bhejega or is page par hume khuch option bhi honge. Jinki hume setting karni hogi.


facebook page kaise banaye jane hindi me

1. Add a Cover Photo : Agar ap ne apne page ke liye cover photo ko add nahi kiya hai to ap yanha is option se kar sakte hai.
2. Add a Short Description : write your page description, Ispar hume apne page ke baare me logo ko batana hota hai ki hum apne page par kis tarah ki information ko share karte hai.
3. Is option se ap apne page ka username create kar sakte ho. Ab apka facebook page ban kar teyar hai. Ab ap post option par jakar apni information write karke logo ke sath share kar sakte ho.
Agar apko abhi bhi facebook page kaise banaye jane hindi me koi problem aaye to comment me phuchen me apki help karne ki puri koshish karunga.
I Hope, apko yah post helpfull lagi ho agar yas to is post apne social media platform par apne dosto ko sath share kare.

16 June 2018

Email Id Kaise Banaye - Google gmail Par

Apni personal email id kaise banaye and google ke free platform gmail par apni id kaise banaye ki jankari : Aj ka time technology ka hai or technology  bahut speed se grow kar rahi hai. Iska asar humari life par padhta hai. Isliye hume iske sath hi grow karna hota hai. Aj ke time me sab kaam online hote hai. Online work karne ke liye hume email id ki jarurat padhti hai. Isliye aj sabke pas email id ka hona bahut jaruri hai.
email id kaise banaye google gmail par
Aj humare bahut se kaam bina email id ke ho pana bahut mishkil hai. Isliye ap apni email id banaye. Agar apne abhi tak apni email id  nahi banai hai to ap is post se apni  email id kaise banaye ki jankari le sakte ho.
Vese to free email id banane ki bahut sari websites hai. But log mostly google, yahoo, microsoft etc... popular website par hi apnai free email id banate hai. Kiun yah sab website achi security deti. But aj hum is post se janege ki google ke free platform gmail par apni email id kaise banate hai.

Email kya hai ?

Purane time me hum letters deliver karne ke liye post office ka use karte the. Jisme humara bahut sara time lag jata tha. But ab letters deliver karne ke liye hum email id ka use karte hai. Email se letters send karne safe, easy, free and save our time etc... karta hai.
Email id ko banane se pahle hume email id kya hai iske bare me janana chahiye. E-mail ka pura name electronic-mail hota hai. 
Means hum internet medium se ek jagah se dusri jagah tak apne letters, massage and kisi parkar ka data bhi send kiya jaye email kahalata  hai.
Jab internet nahi tha to tab hum apne letter ko page par write karke inhe post office me dete the. Letter ke upar apna name and jisko bhejna hai uska name and address write karna hota hai. Uske badh post office bale us letter ki pahchan karke use deliver karte hai.
But aj internet ke time me apne letters ko bhejana assan ho gaya hai. Hume apne letter ko bhejne ke liye us parson ka email is chahiye hoti hai jisko letter bhejna hai or hum ek click se apne letter easy se bhej sakte hai.
Aj ke time email id ka hona bahut important hai. Isliye apni email id banaye.

Email Id Kiun Jaruri Hai  

Aj email id ka use har jagah hota hai. Hume email id se bahut sare kam karne padhte hai. Humari email id ka use school ,college, bank, office, interview etc...har jagah par hota hai. Humari email id  secure hoti hai. Jisme humara data save rahta hai. Yah humara net address hota hai aur net ki security and feature ko use karne ke liye email is jaruri hoti hai. Iske bina hum net ka use nahi kar payenge. Isliye net ke ache use and other feature ke liye hume apni email id banana bahut jaruri hai. Apni email id kaise banaye chaliye sikhte hai.

Email Id Kaise Banaye - Google Gmail Par


Step 1: Sabse pahle gmail.com par jaye.

Apne browser par jaye or gmail.com ko search kare. Ab gmail.com ki website ko open kare.

Step 2: Create an Account.

Gmail ki website ko open karte hi ek page open hoga. Isme hume create an account ke button par click karna hai.
email id kaise banaye google gmail par

Step 3: Apni full details fill up kare.

Is page par hume apni puri jankari bharni hoti hai. Isme hume apna name,password,username etc bharna hota hai. Humara user name subse unique hona chahiye jo kisi ke pass na ho.Is page ko is tarha se fill up kare.

a) Name : Yanha par apna name bhare or uske badh dusre box me apna surname.

b) Choose username : Is option me apna user name bhare. Means jis name se ap apna email id banana chahte ho us name ko bhare. But apka username sabse unique hona chahiye. Jo kisi or ne na liya ho. Kiun ki gmail apke username se hi apki email id ko pahachanta hai. Isliye apna username different rakhe.Ap apne name or word  ko milakar bhi apni email id bana sakte ho.


c) Create password  : Yah option apke email ko secure rakhta hai. Isliye apna password strong rakhe. Jisko apke sivaye koi or nahi khol paye.

d) Conform password : Isme hume apna password ko conform karna padhta hai. Jo password uper likha hai use hi duvara yanha par likhe.

e) Birthday fill up : Yanha apko apni Birthday ki date bharni hogi. Isme apni birth ka day, month, year ko bhare.

email id kaise banaye google gmail par
                                                  next pic niche di gayi hai

f) Choose your Gender : Yanha hume apna Gender choose karna hai . Ap male, female, other and rather not say me se apna gender bhar de.

g) Mobile number bhare : Isme hume us mobile number dalna hoga. Jise hum use karte ho. Kiun is number par hume gamil ki se ek code massage aayega. Jo ek verify code hoga. Issi code se hum apni email id conform karte hai.

h) Current your email address : Agar apke pass email id hai to use yanha par bhare. Kuin agar hum apne password ko bhul jate hai to  hum isse apni id ko recover kar sakte hai. Agar ap new email id bana rahe ho to is option ko khali hi rahne de.

i) Choose location : Isme hume apni location set bharni hogi. Agar ap india se ho to location me india bhare.

j)  Ab next step par click kare.

email id kaise bnaye

Step 4: Privacy and term : 

Next step par click karte hi apke samane privacy and term ka page open hoga. Is page par gmail ki privacy and term ke bare me bataya hoga. Ise ache se read karne ke badh last me I Agree ke button par click kar de.
email id kaise banaye

Step 5: Welcome Massage :

Is page me apko google gmail team ki taraf se welcome massage aya hoga. Isko padhke continue to gmail par click kar de .
email id kaise banaye

Step 6: Ab ap email inbox par jaye. Isme google gmail ki team ne  apko ek email bheja hoga. Isko read kare kiun ki isme google gmail ke email ke kya feature and security hai ki full details batai hoti hai.

Ab apki email id gmail par ban kar teyar hai. Ab ap apne email id se dusre logo ke sath massage and data ko send kar sakte ho and  other feature, online me email ka use kar sakte ho.
I hope, is post se apki help hui ho. Agar apko apni email id kaise banaye google gmail par banane me abhi bhi koi problem aaye to ap comment karke puch sakte ho me apki help karne ki puri koshish karunga.
Agar apko yah post helpfull lage to is post ko social media par apne dosto ke sath jarur share kare. Jisse unki bhi help ho sake.