Blogger blog ki post ki images ko seo friendly kaise banaye and blogger ki images ko search engine optimization friendly kaise banaye ki jankari : Jab hum blogger par apni new post publish karte hai to search engine humari post ko index karta hai to search engine post ko index karne me humari writing par focus nahi karta. Actually search engine humari website ki back link tags and images par focus karta hai. Lagbhag sabhi search engine ayesa hi karte hai.Aj hum isi par bat karenge ki blog post images ki photo ko search engine friendly kaise kare.
Blog post ki photo ko seo friendly banane se search engine par humari post ko achi rank milti hai or search engine humari post ko jaldi index karta hai. Post ki photo ka search engine optimization friendly karne ka means hota hai ki hum apni photo ko is tarha se optimize kare ki jisse search engine humari photo se hi post ka pata kar le.Seo friendly images humari post ke liye bahut important hoti hai. Tabhi search engine humari emages ko read and catch kar sakta hai or search me lata hai. Isliye hume apni post ki images ko seo friendly banana chahiye. Me apko pahle hi bata dun ki apki 1 photo post ke 1000 words ke barabar hoti hai to ap samjh hi sakte hai ki photos apki post ke liye kitni importent hoti hai. Isliye hume apni post ko search engine par jaldi show karane ke liye apni post ki emages ko seo friendly banana hoga.
Agar apne blog bana liya hai or us par 2-3 post bhi pablish kar diye hai to ab ap soch rahe hai ki post me koi acha sa photo dalu to ap bilkul sahi soch rahe ho. Kiun ki photo humari post ke liye acha traffic lati hai or humare viewers photo ko dekh kar humare blog post par ate hai.
Photo Ko Edit karne Ke Liye Pc And Mobile Par Kis Application Ka Use Kare.
Agar ap pc,laptop etc ko use karte ho to apke liye "photo edited" best edit software hai. Jisko ap easy se apne pc par use kar sakte ho.
But jo log mobile ka use karte hai. Unke liye picarts app subse best application hai. Iska use karna bahut asan hai. Isme apko bahut ache feature milte hai. Jo apke photo edit ke liye importent hote hai. Mostly mobile users apne photos edit karne ke liye picarts app ko use karte hai.
Blogger Post Ki Photo Ko Seo Friendly Karne Se Blog Ko Fayde
1. Search engine humari post ko jaldi index karta hai.
2. Post image viewers ko attract karta.
3. Artical ko good look milta hai.
4. Photos ka seo friendly hone se search engine par humari post ko acha rank milta hai.5. Achi image Blog ka traffic badhati hai.
1. Search engine humari post ko jaldi index karta hai.
2. Post image viewers ko attract karta.
3. Artical ko good look milta hai.
4. Photos ka seo friendly hone se search engine par humari post ko acha rank milta hai.5. Achi image Blog ka traffic badhati hai.
Blogger Post Ki Images Ko Edit kaise Kare
1. Subse pahle apne browser par jaye or banha se apni post ke liye post related images ko download kare ya fir ap khud apne software se new photos bana sakte ho.2. Download ki hui photos ko rename kare. Photo rename par apki photo me kaya or kis par hai uske bare me likhe. Jaise ki in photo me diya hai. First photo style wrong hai, but second photo style better hai. Photo ko name dene se search engine ko humari photo ka pata chalta hai.
3. Apni photo ko edit kare. Apne software ki help se apne photo ko design kare or photo par apni post title keyword ko likhe.4. Ab apki photo ban kar bilkul teyar hai. Ab is photo ko apni post par upload kare.
Blog Post Ki Images Ko Seo Friendly Kaise Banaye
Blogger blog ki photo ko search engine optimize friendly banane ke liye hume blogger par login karna hoga. Uske badh hume us post par jana hoga jiske liye humne apni photo banai hai. To chaliye sikhte hai
Step 1 : Subse pahle Blogger.com par log in kare.
Step 2 : Ab blogger dashboard par jaye or Post option par click kare. Ab us post ko open kare jiske liye apne photo banai hai.
Agar apne photo new post ke liye create ki hai to ap new post option par click kare or post likhe or apni photo dale.
Step 3 : Upload your image
Option 1. Ab apko apni post par apne photo ko upload karna hai. Iske liye apko photo option par jana hoga or is par click Karna hoga.
Option 2. Ab Upload me choose file par click kar dijiye.
1. Choose file me jakar Apni photo ko select kare.
2. Photo ki downloading puri ho jane ke badh
3. last me Add selected button par click kar dijiye.
2. Apni photo ko post par kis side rakhna hai.
3. Add caption : Yah option utna jaruri nahi hai. But ap ise bhi set karna chahte ho to isme apne blog ka name likhe jo apki photo ke niche show hoga.
4. Yah option sabse jaruri hai. Isko set karna hi asli seo setting hai.
Yanha apko option show honge.
- Title text: Pahle box me apni post ki title heading likhni hai.
- alt text: Yanha par apko apni post ke title keyword ko likhna hai. Jis topic par apki post hai uske keyword likhe.
- Yah setting seo ke liye bahut jaruri hoti hai. Ab OK par click kar dijiye.
5. Yah option apki photo ko post se remove karta hai.
Ab apki photo ki seo-friendly setting ho gayi hai. Ab ap apni post ko publish kar sakte ho or search engine apki photo se post ko jaldi index karega.
Agar apko blogger blog ki images ko seo friendly kaise banaye me abhi bhi koi problem aaye to ap comment karke puch sakte ho. Me apki help karne ki puri koshish karunga.
I hope, apko yah post helpfull lagi ho agar han to ise apne social media platform par apne friends ke sath share kare.







No comments:
Post a Comment