Blogger blog post ki images ko kaha se download kare and apni post ke liye free images download karne ki top 5 website ki jankari : Jab hum Blog par post likhte hai to hume usme photo dalni hoti hai. Isliye hum apni photo ko browser par search karte hai or hume mil bhi jati hai. But ap jante ho ki jis photo ko hum browser se download karte hai wo photo copyright ho sakti hai. Kiun ki us photo ka owner kabhi bhi hum par copyright photo use karne ka bava kar sakta hai. But kuch websites hai jo blogger ke liye free me photo provide karti hai. To chaliye jante hai ki apne blog post ke liye images kanha se download kare.
Blog post ke liye photo free website se download kiun kare
Agar ap blog post ki images ko free me download karna chahte ho.But apko pata nahi hai ki bah websites kon hai to ap sahi post par hai. Kiun ki yah post iski topic par hai. Ap is post ko last tak dhayan se padhe.
Blogger blog ke liye top 5 website jo blog post ke liye free me photo provide karti hai or isme kisi prakar ka copyright bhi nahi hota.
Jab hum post likhte hai to us post ko seo banane ke liye hume photo ya images ki jarurt hoti hai. Tab hum photo ke liye search karte honge or hume photo mil bhi jati hogi but kai bar post ke topic ke hisab ki photo milna bahut mushkil ho jata hai. Kiun ki ayesi photo kisi vishesh websites par hi milti hai. To me aj apko unhi vishesh websites ke bare me btaunga. Janha se ap apni post and topic ke hisab se free photo download kar sakte ho.
Ye websites bahut popular hai or all bloggers inhi websites ki help lete hai. In website se hume post se related photos and bahut category bhi mile jayegi.
Blog post ke Liye photo khud create kare
Hume apne blog ke liye photo ko khud create karna chahiye. Aisa karne se hum kisi copyright photo ka shikar nahi honge or search engine humari self made photo se humari post ko jaldi index karega. Isliye agar apko photo banani aati hai to ap khud hi photo ko create and edit kare.
Photo edit karne ke liye apko kayi free software mil jayenge.
Photo ko download karne ke bad us photo ko seo friendly banana hota hai. Seo friendly photo apki post ko search engine par jaldi index karti hai or apki post ko search me jaldi and top rank par lati hai. Blog post ke liye photo download karne ki free website.
1. Pixabay :
Yah website apke blog ke liye kai parkar ke alag-alag feature,category ki photo deti hai . Jaise apka blog blogging topic par hai to yah apko blogging se related kai photo provide karta hai. Jo ek bahut achi baat hai . Hume apni website se related or kai parkar ki photo ek hi website me mil jayegi jisse hume or kanhi jane ki jarurt nahi padegi.
Me bhi blog post ki photo ke liye isi website ka use karta hun. Ye ek bahut achi website hai.
2. Stocksnap.io :
Yah website bhi pixabay ki tarha photo provide karta hai. Is website par apko kayi paraker ki alag categories, features, topic related photo mil jayegi. Jo apki post ko acha look dati hai.
Isme apko achi quality ki photo mil jayegi. Yah free website hai or iski photo copyright nahi hoti.
3. Flicker :
Is website se apko free me photo mil jayegi. Isme apko bahut achi quality ki photos mil jayegi . Ye bhi blogger ke liye free photo provide karti hai.
4. Free Digital Photo :
Ye ek free photo dene bali website hai. Jo apke blog se related photo deti hai . Yah blogger support website hai. Yanha se ap apne blog post ke liye photo ko download kar sakte ho.
5) Designer Pics :
Ap iske naam se hi jan sakte ho ki is website par design ki hui photo milti hai. Yanah apko full design images mil jayegi Yah blog ke liye achi unique photo design karta hai. Yah bhi ek better website ho sakti hai apke blog post photos ke liye.
Yah thi blog post ke liye photo download karne ki top 5 website. Jo apke blog ke liye unique, topic,category and good quality etc.. ki photos provide karti hai or in website ki photo copyright nahi hoti jo blogger ko ache se support karti hai. Ye top 5 website best hai blogger post ki images ke liye.
Agar apko abhi bhi free photo download ki free website me koi problem aaye to comment me puche me apki help karne ki puri koshish karunga.
Agar apko yah post helpfull lagi ho to ise apne social media platform par share kare.


No comments:
Post a Comment