Google ke free platform blogger blog ki basic setting kaise kare or apne new blog ki full advansed seo basic setting kaise karte hai ki jankari: All bloggers ke liye blogspot blog ki basic setting karna important hota hai. Blog ki sahi setting karne se blog ko google search engine me high rank milta hai. Blog me kafi seo setting hoti hai. But basic setting karne se google ko humare blog ki full details milti hai. Isliye hume apne blog ki advansed seo basic setting jarur leni chahiye. Yah setting humare blog ke liye top traffic lati hai. New blog me khuch ayesi setting hoti hai. Jinhe set karna hume jaruri hota hai.
![]() |
Blogger Blog Ki Basic Setting Kaise Kare
Step 1.
1. Sabse pahle Blogger.com par login kare
2. Apne blogger dashbord ke left me setting par click kare
3. Setting me Basic setting par click kare
Step 2.
Ab yanha par hum blog ki basic setting karenge
1. Tital :
Yanha apne blog ke liye acha title choose kare. Jaise mene full info book ka title select kiya hai aur iske baad mera blog kis topic ke bare me hai iski small details fill ki hai. Example- fullinfobook - blogging ki full jankari hindi me. Yah mera blog title hai.
2.Description:
Description me hume apne blog ke bare me batana hota hai ki hum apne blog me kis tarah ki jankari share karte hai or kis topic,category se releted post share karte hai. Humari yah blog description google or viewers ke liye hoti hai. Is description se viewers ko humare blog me kya kya hai iski jankari milti hai. Yah description humare blog header me show hoti hai or ise 150 character me hi likh ja sakta hai. E.g.- a blog about all blogging info.
3. Privacy :
Privacy me 2 options show honge. Ap in dono options par yas kare or uske bad save button par click kar dijiye. Yeh 2 options hai
i. add your blog to our listing -
Means google humare blog ko blogger list me show kare ya nahi iske bare me hai. Lekin fir bhi google humare blog ko search engine me show karta hai.
ii. let search engine find your blog
Its means ki hum apne blog ko search engine me show karna chahte hai ya nhi. Is setting ko yas karne se humara blog search engine me show hota hai. Isliye is option par yas hi kare.Ap dono options ko always Yas hi rakhe .
iii. Save par click kar dijiye
4. Blog Address:
Blog address me humare blog ka url address hota hai. Jo humare blog website ka name hota hai. Hum isme custom domain bhi set kar sakte hai. Agar humara blog sub domain blogspot.com par hai to is option ko edit na kare. Agar hum isme koi aur blog address dalte hai to hume apna google analytic's account bhi change karna hoga. Isliye blog address ko change edit na kare. Agar ap custom domain add karna chahte ho to uske liye option hai.5. HTTPS availability:
Yah option humare blog security ka kam karta hai. Agar humare blog me custom domain laga hai to hume https option ki jarurt nahi hoti. But blogspot.com sub-domain bale blog ko https option ko enable karna important hota hai. Isliye is option ko enable karne ke liye yas par click kare
Permissions:

6. Blog Authors -
Isme hume apne blogger blog website ke admin ke bare me batana hota hai. Yanha 1 aur option ad author ka hai. Iske jariye hum apne blog ki authority kisi aur parsons ko de sakte hai. Means hum apne blog ke liye multiple admin bana sakte hai.
7. Blog readers:
Isme edit par click karte hi hamare samne 3 radio buttons option show honge. Jis option ko select karna chahte ho us par click kar dijiye.
i. Pablic:
Its means ki is option ko enable karne se humare blog all readers ke liye open hoga jis par all people aa sakte hai. Open blog hone se readers bina kisi rok-tok ke humare blog par visit kar sakenge.
ii. private(only author) :
Is option ko enable karne se blog ko only author hi read kar sakta hai. Blog admin ke elava koi other parsons blog me visit and read nahi kar sakta.
iii. private(only this readers):
Is option se hum apne blog ko jin logo ko read karana chahte hai. Keval bahi log humare blog ko show and read kar sakte hai.
ix. Ab Save changes par click kar dijiye
Yanha par ap public option ko hi enable kare. Kiun ki public hi humare traffic ko increase karta hai aur hum public ke liye hi post karte hai.Isliye public option par click kare. Uske bad save kar de
Agar apko blog ki basic setting karne me koi pareshani ho rahi ho to ap muje comment karke puch sakte hai. Me apki help karne ki puri koshish karunga.
I hope, apko yah post achi lagi ho to ise apne social media platform me apne friends ke sat share kare taki apki bajah se kiski aur ki help ho jaye.


sambut piala dunia 2018 BOLAVITA
ReplyDelete