This blog about social network help,online help and tricks, online tips and tricks,all tech solution,setting full info,help and trick in hindi.

Showing posts with label Blogspot. Show all posts
Showing posts with label Blogspot. Show all posts

07 July 2018

Blog Ki Traffic Kaise Badhaye Top 20 Powerful Seo Tips 2018

Aj ap janoge ki apne blogger blog par traffic kaise badhaye in top 20 powerful seo tips 2018 se. Blog success hone ke liye apke blogger par high  traffic ka hona bahut jaruri hota hai. Traffic ke bina koi bloggers blog me success nhi pa sakta , bhale hi bo  blog blogger par ho ya fir wordpress par. ,"blog par high traffic nhi to blog me success nhi" me is bat ko manta hun. Matlav traffic blog ki jaan hoti hai.
blog par high traffic kaise badhaye top 20 powerful seo tips
Agar blog hindi me ho to high traffic lana  or  bhi mushkil ho jata hai. Kiun ki  hindi blog ka most target india hi hota hai or  hindi blog par 80% traffic  India se hi milta hai. Bahut se new bloggers blogging ko isliye chod dete hai kiun ki unke blog par high traffic nhi ata or lekin khuch bloggers aise  bhi hai jo bahut time se blogging kar rahe hai fir bhi unke blog par acha traffic nhi hai
Aisa kiun hota hai, kya  newbi bloggers  blogging seo tips ko ache se follow nhi karte, Yas hum yahi par sabse badi galti karte hai ki hum apne blog par seo ko sahi tarha se use nhi karte. Agar hum blogging me high traffic pana chahte hai to hume in seo tips ko achi tarha se follow karna chahiye
Ab yah sawal peda hota hai ki kya new hindi blog par high traffic kaise badhaye.ye sawal sab readers puchna chahte honge ki kya hindi blog par bhi ham high traffic pa sakte hai ?  Ji han bilkul pa sakte hai.
Khuch aise hindi bloggers  hai jinhone blogging me bahut kam samye me high traffic hasil kiya hai Or blogging me success  ko hasil kiya hai. In  hindi bloggers ne itni jaldi success kaise payi , Inhone apne blog par high traffic kaise laya  or high traffic ke liye kin-kin seo tips ka use kiya. Is sab ki jankari is post me di gyi hai bo sab btaunga taki meri mahant jaya na jaye  Or ap in tips ko apne blog par  use karke apne blog par high traffic pa sake.

New Hindi Blog Par High Traffic Paye Others Sources Se 

New blog par high traffic lana mushkil kam hai lekin na mumkin nhi. Blog par high  traffic lane ke liye  humare pas kayi tarike hai .Jinme sabse better  tarika  social  networking ka hai. Social networking world famas hai.isme apka network jitna jyada fela hoga apko utna jyada fayda hota hai. . Blog ka traffic badhane ke liye aap social networking ka use kar sakte ho. Is par apko true viewers milte hai social network me aap facebook, twitter ko use kare  kiun ye do social media yani logo me bahut famas  hai. Iske jariye ham top bloggers ko  follow kar sakte hai or asani se apne blog ke liye naye viewers bhi bna sakte hai new viewers milne se humare blog ka traffic bhi badhta hai.

New Hindi Blog Par High Traffic Kaise Badhaye Top Most Useful 20 Seo Tips

Hindi bloggers apne blog par  high traffic pane ke liye kon-kon se seo tips   follow karte hai.  Is post  me Un most useful 20 seo  tips ke bare me  btaya hai. in tips ko  follow karke  apne hindi blog par traffic badhaye. Apne new blog par high traffic kaise badhaye most useful 20 seo tips  is tarha se hai.

  1.      Choose Better Blogging Platform 

Blog bnane ke liye better platform choose karna  sabse important hota  hai ki ap blogging ke liye kis platform ka use karte ho . Jab mene blog bnane ki sochi to mere samne bhi yahi sawal aya ki me kis platform ko use karu .Mene iske bare me dusre bloggers se pta kiya to unohne mujhe google ki free service blogger.com or wardpress.com ko use karne ko kaha.
Ab yah sochna tha ki in dono me se kon sabse better platform  hai jis par apna blog bnaya jaye. Mere dimag me ik idea aya kiu na pahle google ki free service blogger platform ko use kiya jaye. Fir mene blogger platform ko use karke  apna free  blog www.helpwhowant.blogspot.com bnaya  Or  mene dekha ki yah platform baki sab free platform se sabse better hai. Blogger par free blog bna kar ham bo sab kar sakte hai jo blogging ke liye jaruri hai isme bo sab feature hai jo blog ko useful bnate hai. Agar ap bhi apna blog bnane ki soch rahe ho to me apko blogger par blog bnane ko kanhunga. Kiun ki yah bahut  easy hai or free bhi. 
Wardpress platform baki sabhi platform se 1000 guna better hai. kiun ki hume is platform par  puri freedum milti hai  or is par hum apni icha se khuch bhi setting ,tag, changing kar sakta hai. Lekin wordpress platform  free nhi hai yah hume apni seba free me nhi deta.  Isko use karne ke liye hume hosting leni padti hai . Hosting ke  liye paise dene hote hai  tabhi hum wordpress ki seba ko pa sakte hai. Is platform ko blogging me apna experience badne ke bad use kare.  Lekin starting me blogger.com platform ko hi use kare. 
Me bas  apko itna hi kahunga ki  agar ap blogging karna chahte ho,blogging me apna experience badhana chahte ho to pahle blogger platform ko use kare Or jab blogging me apka experience badh jaye tab  ap wordpress ko use kar lena.
Blogger platform  bilkul free hai or yah apni sari seba free me deta hai.Yah itna simple hai ki hum iska use badi asani se kar sakte hai or yah hume blogging ki all   knowleghe deta hai. Jisse  blogging me humara experience badh jata hai.
jab blogging me   experience  badh jaye tab ap apne blog ko blogger.com se wordpress me move  kar sakte ho

   2.        Select Best Unique Name & Url 

Apne blog ka name unique or catchy rakhe jo logo ko easy jaldi se sumjh me aa jaye . blog name unique hona chahiye.  blog name unique hone se readers ko humara blog nya lagta hai  or aisa name yad me bhi rahta hai.  matlav blog name aisa hona chahiye jo pahle kisi ne na rakha ho or dusre kisi blog name se milta-julta na ho matlav bilkul different ho.

blog name ko apne blog topic se related name se hi rakhe matlav jis topic par ap apna blog bnana chahte ho usi topic se related  apna blog ka name rakhe.  matlav agar apka blog healthcare ke topic par hai to apke blog name  bhi healthcare se realed name se hi hona chahiye.aisa karne se apke reader ko pahle hi pta chal jata hai ki ap apne blog me kis tarha ki jankari dete ho. yah bat readers ko pasand aati hai or bo  hamare blog par ana pasand karte  hai . Isse hume humare readers milte hai or hume apna high traffic milta hai.

best blog name hone se humare blog ka url address bhi best  lagta hai. best url name readers ko padne me easy hota hai or yad bhi rahta hai. isliye apne blog par treffic badhane ke liye apne blog ka name & url unique , best or easy  rakhe.

   3.      Fast loading Template 

Template kisi bhi blog ke success high traffic  ke liye bahut mayne rakhti hai. template ka fast loading hona kisi bhi blog  ke liye jaruri hota hai. kiun ki koi bhi readers aisi site par aana pasand nhi karta jiski template slow loading ho or blog slowly open hota ho matlav jinka blog open hone me bahut time lagata ho . agar apki template bhi fast loading nhi hai to ap aj hi ise change kar le or fast loading template ko apne blog par upload kare. fast loading template na hone se humare blog ki loading bhi slow ho jati hai or humara blog open hone me  bahut time lagata hai. slow loading hone se readers blog par aana pasand nhi karte. Readers na aane se blog par  traffic ana band ho jayega  jo  blog ke liye nuksan dayak sidh ho sakta hai.
Isliye  me kahta hun agar ap bhi slow loading template use kar rahe ho to ise jaldi se change kar le kya pta apke blog par high traffic na aane ka karan apki slow loading template ho.
Fast loading template hone se humara blog fastly open  hota hai.apko pata hai readers apni information ke liye blog par visit karte hai.ager humara blog slowly open hoga to humare readers kisi dusre blog par jana pasand karenge . isliye templates fast loaing honi chahhiye taki humara blog fastly open ho jisse readers ko apni information  jaldi se mil jaye or unhe kisi aur blog par jane ki jarurt  na pade.
Me apko top 3 templates websites ka name btata hun jinse ap fast loading templats ko free me download kar sakte ho
1.btemplate
2.goyaabetemplate
3.soratemplates.
Ye top 3 websites hai jo blogger blog ke liye free me template provide karti hai.

   4.       Make Blog Simple Design 

apne blog ka design simple rakhe. bahut se blogger aise  hote hai jo apne blog ko bahut colurfull bnate hai. Apne blog par deep, bold colur ka use karte hai . jyada bold deep colur ka use karne se log jab apke blog par visite karte hai to unhe kayi parshaniyo ka samna kana pad sakta hai hai,blog par jyada deep colur use hone se humare readers ki eyes  ko nuksan ho sakta hai. heavy deep colur se  readers apke blog par nhi ate jisse hame treffic nhi milta isliye  apne blog par 4 se jayda culor ka paryog na kare  Or janha tak ho sake blog ko simple look design de . jyada tar apne blog par black, blue and red  in 3 colur ka  use hi kare. ye culer eyes catchy hote hai.
apne blog par humesha light colors  use kare jo eyes catching ho. taki humare readers ki eyes ko koi nuksan na ho or light color use karne se  readers humare blog par aate hai jo humare blog par treffic ko badhate hai.

    5.      Search Description 

Search description me humari post ki short information  hoti hai.  search description me hume yah btana hota hai ki hum apni   is post me kya de rahe hai  or kiske bare me likhi gayi hai , hume Apni post ki  informatoin short me deni hoti hai. Taki readers ko  pata chal sake ki  post me kya diya gya hai. simple words me hanhu to . search description ko likhne se humre readers ko yah pata chal jata hai ki is post me kya knowledge diya hai 
Jab hum blog post par post ki short description likhte hai to  hume high ranking bale hindi ya english words ko is description par likhna chahiye. aisa karne se humara blog search engine par top me aata hai.
Jab humari post searchlist me aati hai to hamre blog tital ke sat niche short description show hoti hai ab readers is  description ko padh kar apki post par visit karte hai .ab jitne aapke visiter honge utna hi apka high traffic badhega.isliye apni post par search description ko  jarur likhe.

  6.     Image Optimization 

Blog post Image ko full optimized kare kiun ki jab hum post likhte hai to us post keliye hume emages ki jarurt hoti hai Or hum image ko download karte hai or apni post  par add kar lete hai. jis emage ko hum download karte hai bo old name , version bali hoti hai isliye  yah emage  full seo  optimization nahi hoti yah old name par  hoti hai agar hum apne post par aisi image ko dalte hai to iska  humari  post ke sat koi tal-mel nhi hota aisi photo post me na ke braber hoti hai . isliye hume  image ki  purani details ko badlana hota hai taki hum us image ko apni post ke hisab se  optimized  kar sake.
Hume  apni image ke old name ko badhlana hota hai or us image ka alta tag set karna hota hai
Or ik bat kahna chahunga ki ham jis photo ko apne post par add karte hai bo humari post ke 1000 chreckters  ke brabar hoti hai matlav," 1 photo post ke 1000 creckter  ke braber hota hai  ( 1 image = 1000 chrackters  ) ager hum apne photo ko bilkul sahi trike se  optimized   karte hai to humari post search me ache   rank par aati  hai. post ko acha rank milne se humare blog ko   high treffic milta hai
Isliye apni post Image ko sahi  tarike se seo optimized kare

  7.      Heading And Labels 


heading ka hona kisi bhi articles ke liye jaruri hota  jaruri hai, readers humari heading ko pad ke hi humari post par aate hai. post ki top heading, h1, h2, h3 ka sahi se use hone se humari post search me top par aati hai. jab koi readers blog par ata hai to bah humari top heading line ko padh kar hi humare blog post par aate hai apni post ko search par high rank par lane ke liye post par heading ko jarur likhe heading bold black color se likhe taki search engine ko jaldi pata chal jaye ki apke blog se kis post ko search kiya ja raha hai 
Labels blog me hona bahut jaruri hota hai kiun ki jab koi readers humare blog par aate hai to beh apni post  ke liye labeles ko use kar sakte  hai. hume ek post par kam se kam 2-4 lebals add karne chahiye. humare blog par bahut labels hone chahiye taki readers jo help chahte hai unhe bo jaldi se mil jaye or iske karan beh humare  blog  par jayda time tak rukenge or fir humare ko  high treffic bhi milenga.

   8.      Social Promote 

apne blog ko social media par share kare. social media  blog par high traffic pane ka sabse easy rasta hai. social media  se hum apne blog ke liye ture readers  pa sakte hai. social media par twiiter facebook sabse famous hai  ap  blog ko in me  share karke apne blog ke liye high traffic pa sakte ho. in do ke alava bhi bahut aisi site hai jo social media me bahut famous hai. social media world famous hai  ager hum apne blog ko is  par share karte hai to hume apne blog ke liye readers  world se milte hai jo ek achi bat hai Or  isse humara blog world famous ho sakta hai . isliye apne hindi blog par world se readers or high taffic pane ke liye apne blog ko social media par  share & promote kare.

  9.      Collect Back Links 

Blog par high traffic pane  ke liye hume dussre blog site se  apne blog  ke liye back link ko collect karna chahiye. hume  apne blog le liye back links ko  humesha top blog se hi collect karne chahiye kiun ki aisa karne  se hume un blog ke back links ke sat-sat unke readers bhi milte hai.
Back links ko jaldi hum tabhi pa sakte jab koi top bloggers apne blog par post share karta hai or hum unke blog par sabse pahle 1-4 no. par comment karte hai  or kisi readers ki help karte hai to hume us site se  back links milte hai. jo humare blog ka traffic badhate hai

  10.     Comments On Top Blogs 

Mene apko pahle  bhi btaya hai ki agar hum  high traffic bale  kisi top blog  par comment karte hai to hume banha se apne blog ke liye readers or high traffic milta hai. isliye top blog par comment kare . top high traffic bale blog par  comment karne se hum apne blog ke links ko  unke comment par dal sakte hai, in links par click karke  unke readers humari site par aate hai. jisse unke readers humare  readers bhi ban jate hai
Kisi dusre sites par comment karne se hume un sites se bank links  milte hai jo humari blog traffic ko bhadhate hai . isliye apne blog par high traffic lane ke liye  top blog par comment kare 

  11.     Writing Skill 

Bloging me writing skill ka hona bahut jaruri hota hai. writting hi ek jariya hai jisse hum logo ko apne hunar, koshal dikha sakte hai bare me bta sakte hai ki hum kya hai jisse. blogging me writing skill ki sabse jyada jarurt hoti. blogging par  hum likh kar hi dussro tak apni information ko pahuncha sakte hai. agar hum me likhne ka skill nhi hoga to hum blogging me success nhi ho sakte. isliye hume blogging me sabse pahle apne likhne ke skill ko sudharna  chahiye.

agar hum post ko ache skill ke sat likhte hai aur readers ko humare likhne ka skill acha lagta hai to beh  readers humare blog par bar-bar visit karte hai , jisse humare blog ka traffic badta hai

  12.     Write Full Detailed Long  Articles 

full detail long articles likhne me apna pura time de kiun ki readers ko full jankari pasand ati hai readers aadi aduri jankari pasand nhi karte. readers blog par apni puri information ke liye aate ager ap unhe full detail articles likh kar nhi doge to be apke blog par aana hi chod denge. isliye ap apne articles me full jankari de taki readers ki help ho sake 
Apne blog articles ko long me likhe ho sake apni post par  1500-2000 shabdo ka use kare
long articles likhne se apka blog search engine me top par show hota hai or ap yeh samjh hi sakte ho ki jo post top par hoti hai usko kitna traffic milta hai. world me  90 %  log search  engine ki top ki post par hi click karte hai. isliye apni post ko long or full detail me  likhe

  13.     Write Quality Articles 

apne blog par high traffic pane ke liye hume  quality articles likhne chahiye. ager hum apne blog par 1 bhi quality articles likhte hai to humara 1 quality articles  bhaki 100 articles ke braber hota hai. agar hum quality articles likhte hai to humare blog ko high  readers milte hai jo humare blog par high traffic late hai
Quality articles se matlab aisi post jiski  logo ko jayada jarurt hai or search engine me sabse jyada search ki ja rahi ho aisi poast se hai. isliye hume apne blog par  quality articles likhne chahiye.

  14.     Don't Forget SEO 

seo ko kabhi na chode ye humare blog ki jaan hoti hai inke bina humari post search me top par nhi aa sakti. kiun ki seo hi ek aisa trika hai jinke davaraa hum apni post ko search me top par la sakte hai. kai nebie blogger  seo ko jhod dete or apne blog post ko seo nhi karte jinka unhe nuksan udhana padta hai me apko bta dun agar ap seo par focus nhi karoge to ap blogging me kabhi sufal nhi ho sange  kiun ki seo hi ek jariya hai jiske sahare hum apne blog ko search me high rank par laa sakte hai or seo hone se post ko jyada readers milte hai jo humare blog traffic ko badhate hai
isliye hume apni post ko likhte time seo par full focus  karna chahiye or apne blog par keval full seo post hi pablish kare.

  15.     Focus One Particular Area 

Matlav apne blog par keval kisi ek vishesh topic par hi information share kare.  kuch  bloggers apne  blog par bahut topic par information dete hai. ager hum sab jankari 1 blog par share karte hai  to hume apne blog ke liye regular  readers nhi milte. matlab  ager humari post tech  topic par hai or hum usme health, supports etc topic ki information ko bhi share karte hai aise blog ko regular readers milna bahut mushkil hota hai. apne kabhi socha hai ki humare top bloggers kisi ek topic par hi information kiun date hai. bo isliye kiun ki unhe regular readers chahiye hote hai.
Isliye ager ap bhi apne blog par high traffic pana chahte ho to kisi ek particular topic par hi post share kare jisse hume regular reders milenge  or humara  traffic bhi badega 

  16.     Make Best Talent 

Blog par post likhte time apne talent ka istemal kare blog post ko simple bnaye taki readers ko padhne or sumjhne me asani ho or apne likhne ke andaz ko better kare. blog post ko apne talent se likhe. kayi bloggers khud post na likh kar dussre kisi bloggers ki post ko copy karke  apne blog par paste kar lete hai.aisa na kare kiun isse apko readers nhi milte kuin ki google ko pahle hi pata chal jata hai ki apki post  copy ki hui hai or  google copy ki hui post ko nhi dikhata isliye hume aisa nhi karna chahiye isliye hume humesha apni post ko apne talent se likhni chahiye. 

  17.     Use High Ranking English Words 

Apni post par   high ranking english words ko hi use kare.high ranking words ko use karne se humari blog search me top par aati hai jab ap koi post likhte ho to ap us post se releted english words ko search kare jo words search par sabse uper top par aa rahe ho un words ko apni post me add kare 
High ranking word ko post par keval 1.5% se jyada istemal na kare ap soch rahe honge ki in word ko kanha par use kare me bta deta hun in top ranking words ko tital,search description, H1,H2,H3 or puri post me add kare ( janha jaruri ho bahi use kare matlab post me high ranking words 1.5% se jyada use na kare) . post ke starting or ending me bhi in words ka paryog kare ye ek seo tips hai inhe follow karne se apko bahut labh hoga. post search me top par aati hai jis se blog par  readers aate hai or jisse apke blog ko high traffic milta hai
Isliye apni post me high reanking english words ko jarur add kare.

  18.     Don't Make Many Blogs 

Bahut se bloggers ka bloging me success na hone ke piche yahi karn hai ki beh  bahut jayeda blog bna lete hai ,jab new bloggers, apna new blog bnate hai hai to beh  uske sat  khuch aur blogs bna lete hai. fir blogging ko start karte hai beh sochte hai ki , jitne jyada blog bnayenge utni jyada earning karenge. beh sochte hai ki beh blogging me asani se success ho jayenge likin aisa nhi hai blogging me bahut blogs me success hona bahut mushkil hota hai isliye ap is khabab ko chod de ki blogging me asani se success ho sakte  isliye agar ap ek blog bnate ho to apka focus ek hi blog par rahega or agar ap uspe acha traffic late ho to ap usse  achi earning bhi kar paoge. 
Aisa na bilkul na kare,  keval  1 hi blog bnaye us par puri mehnat se kam kare jitni mehnat ap bahut blog bnakar un par karne ki sich rahe the agar ap utni hi mehant kisi ek blog par karoge  to apko blogging me success hone se koi nhi rok sakta.

  19.     Work On Blog Full Time 


Apne blog par full time  work kare ager ap bloggers ho or blogging karte ho likin ap full time blogging nhi karte  to apko success hone me 5 se 10 sal tak lag sakte hai kuch log shochte hai ki blogging me koi bhavishiya hi nhi hai fir bo blogging karke kya kare. likin ab aisa nhi hai blogging me kayi blogger 1 lack monthly se upper kamte hai ager unone bhi yahi socha hota to aj bo is jagha par  hote or kya hum unka name le rahe hote .
Agar ap  blogging ko puri honestly , dhariya ke sat karte ho to bo din dur nhi hoga jab apki ginti bhi un top  bloggers me ki jayegi
Ager ap full time blogging nhi kar sakte ho to hafte me 1-2  matlav 3-4 din me ek artical jruru likhe
Ya ek mahine me 2 se 4 qulity contant jarur likhe .quality articles likhne se hume kya fayde hote hai ye to ap jante hi honge or isse  bhi blog update rahta hai blog update rahne se blog ko high traffic milta hai.  

  20.      Reply On Your Comments 

Apni post par kiye huye comments ka reply jarur kare kiun ki readers humse help chahte hai Hum apne readers ki help jitni jaldi  karte hai utne readers humare blog par aate hai unhe pata hota hai ki is blog me unki help ki jayegi ,comment ka reply milega to beh readers apni helps ke liye humare blog mpar visit karte rahenge.  comment karne se hume pata  chalta hai ki humare  readers humse kya helps chahte hai matlav readers ko aur kis cheej ki help chahiye  bo hume comment ke jariye bta dete hai. is tarha comment se hume logo ki pasand ki post, topic ke bare me pata chal jata hai. ki boh kiske bare me help chate hai . 
Readers ko reply milne se bo apke  blog par bar bar visit karte hai jisse blog traffic badta hai.
Final words
last final words me apko bas itna hi kaunga ki ap uper diye huye in most usful 20 tips  ko agar dhayan se inka use apne blog par karte ho to  apko blogging me success hone me koi nhi rok sakta.
blogging help ke liye is blog par visit karte rahe. is blog par blogging helps se related posts share ki jati hai
apko  meri helppost  achi lagi ho to is post "New hindi blog par  traffic kaise badhaye top most usefull 20 seo  tips." ko social media par jarur share kare aur koi information  ke liye comment kare

05 July 2018

Blog Me Robots.txt Fill Ko Kaise Add Kare - Full Jankari Hindi Me

Aj hum janege ki apne blog me robots.txt file ko kaise add ya enable kare. Agar ap apne blog ya website ki privacy ki security karna chahte ho to apne blog me Robots.txt file ko add kare. 
blog me custom robots.txt file ko kaise add kare

Yah website ki security ke liye important hoti hai kiun ki yah humari website ki gopiniyata ko banaye rakhti hai. Isliye hume apne blog par robots.txt file ko add kar lena chahiye.

Robots.txt file humari website ki private baaton ko google ya sabhi search engine se chupata hai. Yah apke blog ki har post me hota hai. Iski help se hum google, yahoo, bing etc... search ingine se apni blog ki private baaton ko chipa sakte hai.

Blog Me Robotstxt File Ka Kya Kaam Hota Hai.

Robots.txt file humare blog ko bodygard karti hai. Jab users humare blog ki post ko search karte hai to search engine humare blog par ata hai. Tab robots.txt file search engine ko batata hai ki use humari website se kya dikhana allow hai or disallow. Robots.txt file humare blog ki privacy ko secure karti hai.

Blog Ke Liye Robots.txt File Ko Kaise Banaye

Wese to bahut se websites robots.txt file banane ka dava karti hai. But bo ture nahi hoti. Kiun ki blogger ne abhi tak koi ayesi service lagu nahi ki hai. But aj me apko robots.txt fil ke code ke baare me bataunga. Jo blogger ke bataye huye hai. Agar ap khud dekhna chahte ho to blogger help forum me jake dekh sakte ho.

1. User-agent: Media partner- Google

Yah ek google adsence robot hai. Jo humare adsence code ko search engine se chupata hai. Agar ap  adsence use nahi karte ho to ise rahne de. Yah apke liye utana jaruri nahi hai. 

2. User-agent:

Yah humari website ke users ke liye hai. Iske use se hum apni website se users ko kya dikhana chahte hai. Ise  disallow hi rahne de taki humari website ki security bani rahe.

3. Disallow:/search

Is option se hum apni website ke keywords ko hide kar sakte hai. Ise hume not allow karna chahiye taki search engine ise na dikha sake.

4. Allow:

Isse hum apni website me search engine ko kya dikhana chahte hai usko batate hai. Ap ise allow hi rahne de to acha hai.

5. Sitemap

Yah subse important hai. Siteemap humari website ki new post ki jankari deta hai or post me kitane url hai. Search engine me kab kya dikhana hai or kon si post popular hai uske bare me batati hai. Sitemap ke or bhi bahut se kam hote hai. Agar ap blog ke liye robots.txt file banana chahte ho to pahle apna sitemap bana lijiye.
User-agent: Mediapartners-Google
 Disallow:
 User-agent:
 Disallow: /search
 Allow: /
 Sitemap: https://www.fullinfobook.com/sitemap.xml
Is code ko copy kar len.
Isme apko http://www.fullinfobook.com//sitemap.example ki jagah par apni website ka sitemap add karna hoga.

Blog Me Robotstxt File Ko Add Kaise Kare

Step 1. 
Subse pahle blogger.com par login kare.
how to add custom robots.txt file in blogger
1. Ab blog ki setting par jaye.
2. Search preferences  par click kare.
3. Ab Custom Robots.txt ke samne edit par click kariye.
Step 2.
blog me custom robots.txt file ko kaise add kare
1. Ab yas par click kar dijiye.
2. Yanha uper diye huye code ko dale.
2. Or ab save changes par click kar dijiye.
Ab apke blog me robots.txt file add ho chuki hai. Ab robots.txt file jo allow karega bahi search engine me dikhayega.
Note :-  Agar ap apne blog me koi chij publish nahi karna chahte ho to robots.txt file add kare. Agar apko koi blog page, post keywords, label ko search engine se nahi chupana chahte ho to robots.txt file ko add na kare
Agar apko abhi bhi robots.txt file kaise add kare me koi problem aarahi ho to comment me puche.
I Hope, apko post helpfull lagi ho agar han to ise apne social media platform me apne dosto ke sath jarur share kare.

18 June 2018

Blog Post Ki Images Ko Seo Friendly Kaise Banaye

Blogger blog ki post ki images ko seo friendly kaise banaye and blogger ki images ko search engine optimization friendly kaise banaye ki jankari : Jab hum blogger par apni new post publish karte hai to search engine humari post ko index karta hai to search engine post ko index karne me humari writing par focus nahi karta. Actually search engine humari website ki back link tags and images par focus karta hai. Lagbhag sabhi search engine ayesa hi karte hai.Aj hum isi par bat karenge ki blog post images ki photo ko search engine friendly kaise kare.

post ki images ko seo friendly kaise banaye

Blog post ki photo ko seo friendly banane se search engine par humari post ko achi rank milti hai or search engine humari post ko jaldi index karta hai. Post ki photo ka search engine optimization friendly karne ka means hota hai ki hum apni photo ko is tarha se optimize kare ki jisse search engine humari photo se hi post ka pata kar le.

Seo friendly images humari post ke liye bahut important hoti hai. Tabhi search engine humari emages ko read and catch kar sakta hai or search me lata hai. Isliye hume apni post ki images ko seo friendly banana chahiye. Mapko pahle hi bata dun ki apki  1 photo post ke 1000 words ke barabar hoti hai to ap samjh hi sakte hai ki photos apki post ke liye kitni importent hoti hai. Isliye hume  apni post ko search engine par jaldi show karane ke liye apni post ki emages ko seo friendly banana hoga.

Agar apne blog bana liya hai or us par 2-3 post bhi pablish kar diye hai to ab ap soch rahe hai ki post me koi acha sa photo dalu to ap bilkul sahi soch rahe ho. Kiun ki photo humari post ke liye acha traffic lati hai or humare viewers photo ko dekh kar humare blog  post par ate hai.

Photo Ko Edit karne Ke Liye Pc And Mobile Par Kis Application Ka Use Kare.

Agar ap pc,laptop etc ko use karte ho to apke liye "photo edited" best edit software hai. Jisko ap easy se apne pc par use kar sakte ho.
But jo log mobile ka use karte hai. Unke liye picarts app subse best application hai. Iska use karna bahut asan hai. Isme apko bahut ache feature milte hai. Jo apke photo edit ke liye importent hote hai. Mostly mobile users apne photos edit karne ke liye picarts app ko use karte hai.

Blogger Post Ki Photo Ko Seo Friendly Karne Se Blog Ko Fayde

1. Search engine humari post ko jaldi index karta hai.

2. Post image viewers ko attract karta.

3. Artical ko good look milta hai.

4. Photos ka seo friendly hone se search engine par humari post ko acha rank milta hai.5. Achi image Blog ka traffic badhati hai.

Blogger Post Ki Images Ko Edit kaise Kare

1. Subse pahle apne browser par jaye or banha se apni post ke liye post related images ko download kare ya fir ap khud apne software se new photos bana sakte ho.2. Download ki hui photos ko rename kare. Photo rename par apki photo me kaya or kis par hai uske bare me likhe. Jaise ki in photo me diya hai. First photo style wrong hai, but second photo style better hai. Photo ko name dene se search engine ko humari photo ka pata chalta hai.

                                   

3. Apni photo ko edit kare. Apne software ki help se apne photo ko design kare or photo par apni post title keyword ko likhe.4. Ab  apki photo ban kar bilkul teyar hai. Ab is photo ko apni post par upload kare.


Blog Post Ki Images Ko Seo Friendly Kaise Banaye

Blogger blog ki photo ko search engine optimize friendly banane ke liye hume blogger par login karna hoga. Uske badh hume us post par jana hoga jiske liye humne apni photo banai hai. To chaliye sikhte hai


Step 1 : Subse pahle Blogger.com par log in kare.

Step 2 : Ab blogger dashboard par jaye or Post option par click kare. Ab us post ko open kare jiske liye apne photo banai hai.

Agar apne photo new post ke liye create ki hai to ap new post option par click kare or post likhe or apni photo dale.

Step 3 : Upload your image 

Option 1. Ab apko apni post par apne photo ko upload karna hai. Iske liye apko photo option par jana hoga or is par click Karna hoga.

post ki images ko seo friendly kaise banaye

Option 2. Ab Upload me choose file par click kar dijiye.

1. Choose file me jakar Apni photo ko select  kare.


2. Photo ki downloading puri ho jane ke badh
3. last me Add selected button par click kar dijiye.


Step 4 : Ab post par apki photo show ho rahi hogi. Is photo par click kare. Apke click karte hi photo ke niche seo setting open ho jayegi. Hume yanha par apne photo ki full seo frendly setting  karni hogi.
post ki images ko seo friendly kaise banaye
1. Isme photo ka size set kare. Apko photo kis size me dikhana hai.
2. Apni photo ko post par kis side rakhna hai.
3. Add caption : Yah option utna jaruri nahi hai. But ap ise bhi set karna chahte ho to isme apne blog ka name likhe jo apki photo ke niche show hoga.

4. Yah option sabse jaruri hai. Isko set karna hi asli seo setting  hai.
Yanha apko option show honge.

  • Title text: Pahle box me apni post ki title heading likhni hai.
  • alt text: Yanha par apko apni post ke title keyword ko likhna hai. Jis topic par apki post hai uske keyword likhe.
  • Yah setting seo ke liye bahut jaruri hoti hai. Ab OK par click kar dijiye.

photo ko seo friendly kaise banaye


5. Yah option apki photo ko post se remove karta hai.
Ab apki photo ki seo-friendly setting ho gayi hai. Ab ap apni post ko publish kar sakte ho or search engine apki photo se post ko jaldi index karega.
Agar apko blogger blog ki images ko seo friendly kaise banaye me abhi bhi koi problem aaye to ap comment karke puch sakte ho. Me apki help karne ki puri koshish karunga.
I hope, apko yah post helpfull lagi ho agar han to ise apne social media platform par apne friends ke sath share kare.