Aj ap janoge ki apne blogger blog par traffic kaise badhaye in top 20 powerful seo tips 2018 se. Blog success hone ke liye apke blogger par high traffic ka hona bahut jaruri hota hai. Traffic ke bina koi bloggers blog me success nhi pa sakta , bhale hi bo blog blogger par ho ya fir wordpress par. ,"blog par high traffic nhi to blog me success nhi" me is bat ko manta hun. Matlav traffic blog ki jaan hoti hai.
Agar blog hindi me ho to high traffic lana or bhi mushkil ho jata hai. Kiun ki hindi blog ka most target india hi hota hai or hindi blog par 80% traffic India se hi milta hai. Bahut se new bloggers blogging ko isliye chod dete hai kiun ki unke blog par high traffic nhi ata or lekin khuch bloggers aise bhi hai jo bahut time se blogging kar rahe hai fir bhi unke blog par acha traffic nhi hai
Aisa kiun hota hai, kya newbi bloggers blogging seo tips ko ache se follow nhi karte, Yas hum yahi par sabse badi galti karte hai ki hum apne blog par seo ko sahi tarha se use nhi karte. Agar hum blogging me high traffic pana chahte hai to hume in seo tips ko achi tarha se follow karna chahiye
Ab yah sawal peda hota hai ki kya new hindi blog par high traffic kaise badhaye.ye sawal sab readers puchna chahte honge ki kya hindi blog par bhi ham high traffic pa sakte hai ? Ji han bilkul pa sakte hai.
Khuch aise hindi bloggers hai jinhone blogging me bahut kam samye me high traffic hasil kiya hai Or blogging me success ko hasil kiya hai. In hindi bloggers ne itni jaldi success kaise payi , Inhone apne blog par high traffic kaise laya or high traffic ke liye kin-kin seo tips ka use kiya. Is sab ki jankari is post me di gyi hai bo sab btaunga taki meri mahant jaya na jaye Or ap in tips ko apne blog par use karke apne blog par high traffic pa sake.
New Hindi Blog Par High Traffic Paye Others Sources Se
New blog par high traffic lana mushkil kam hai lekin na mumkin nhi. Blog par high traffic lane ke liye humare pas kayi tarike hai .Jinme sabse better tarika social networking ka hai. Social networking world famas hai.isme apka network jitna jyada fela hoga apko utna jyada fayda hota hai. . Blog ka traffic badhane ke liye aap social networking ka use kar sakte ho. Is par apko true viewers milte hai social network me aap facebook, twitter ko use kare kiun ye do social media yani logo me bahut famas hai. Iske jariye ham top bloggers ko follow kar sakte hai or asani se apne blog ke liye naye viewers bhi bna sakte hai new viewers milne se humare blog ka traffic bhi badhta hai.
New Hindi Blog Par High Traffic Kaise Badhaye Top Most Useful 20 Seo Tips
Hindi bloggers apne blog par high traffic pane ke liye kon-kon se seo tips follow karte hai. Is post me Un most useful 20 seo tips ke bare me btaya hai. in tips ko follow karke apne hindi blog par traffic badhaye. Apne new blog par high traffic kaise badhaye most useful 20 seo tips is tarha se hai.
1. Choose Better Blogging Platform
Blog bnane ke liye better platform choose karna sabse important hota hai ki ap blogging ke liye kis platform ka use karte ho . Jab mene blog bnane ki sochi to mere samne bhi yahi sawal aya ki me kis platform ko use karu .Mene iske bare me dusre bloggers se pta kiya to unohne mujhe google ki free service blogger.com or wardpress.com ko use karne ko kaha.
Ab yah sochna tha ki in dono me se kon sabse better platform hai jis par apna blog bnaya jaye. Mere dimag me ik idea aya kiu na pahle google ki free service blogger platform ko use kiya jaye. Fir mene blogger platform ko use karke apna free blog www.helpwhowant.blogspot.com bnaya Or mene dekha ki yah platform baki sab free platform se sabse better hai. Blogger par free blog bna kar ham bo sab kar sakte hai jo blogging ke liye jaruri hai isme bo sab feature hai jo blog ko useful bnate hai. Agar ap bhi apna blog bnane ki soch rahe ho to me apko blogger par blog bnane ko kanhunga. Kiun ki yah bahut easy hai or free bhi.
Wardpress platform baki sabhi platform se 1000 guna better hai. kiun ki hume is platform par puri freedum milti hai or is par hum apni icha se khuch bhi setting ,tag, changing kar sakta hai. Lekin wordpress platform free nhi hai yah hume apni seba free me nhi deta. Isko use karne ke liye hume hosting leni padti hai . Hosting ke liye paise dene hote hai tabhi hum wordpress ki seba ko pa sakte hai. Is platform ko blogging me apna experience badne ke bad use kare. Lekin starting me blogger.com platform ko hi use kare.
Me bas apko itna hi kahunga ki agar ap blogging karna chahte ho,blogging me apna experience badhana chahte ho to pahle blogger platform ko use kare Or jab blogging me apka experience badh jaye tab ap wordpress ko use kar lena.
Blogger platform bilkul free hai or yah apni sari seba free me deta hai.Yah itna simple hai ki hum iska use badi asani se kar sakte hai or yah hume blogging ki all knowleghe deta hai. Jisse blogging me humara experience badh jata hai.
jab blogging me experience badh jaye tab ap apne blog ko blogger.com se wordpress me move kar sakte ho
2. Select Best Unique Name & Url
Apne blog ka name unique or catchy rakhe jo logo ko easy jaldi se sumjh me aa jaye . blog name unique hona chahiye. blog name unique hone se readers ko humara blog nya lagta hai or aisa name yad me bhi rahta hai. matlav blog name aisa hona chahiye jo pahle kisi ne na rakha ho or dusre kisi blog name se milta-julta na ho matlav bilkul different ho.
blog name ko apne blog topic se related name se hi rakhe matlav jis topic par ap apna blog bnana chahte ho usi topic se related apna blog ka name rakhe. matlav agar apka blog healthcare ke topic par hai to apke blog name bhi healthcare se realed name se hi hona chahiye.aisa karne se apke reader ko pahle hi pta chal jata hai ki ap apne blog me kis tarha ki jankari dete ho. yah bat readers ko pasand aati hai or bo hamare blog par ana pasand karte hai . Isse hume humare readers milte hai or hume apna high traffic milta hai.
best blog name hone se humare blog ka url address bhi best lagta hai. best url name readers ko padne me easy hota hai or yad bhi rahta hai. isliye apne blog par treffic badhane ke liye apne blog ka name & url unique , best or easy rakhe.
3. Fast loading Template
Template kisi bhi blog ke success high traffic ke liye bahut mayne rakhti hai. template ka fast loading hona kisi bhi blog ke liye jaruri hota hai. kiun ki koi bhi readers aisi site par aana pasand nhi karta jiski template slow loading ho or blog slowly open hota ho matlav jinka blog open hone me bahut time lagata ho . agar apki template bhi fast loading nhi hai to ap aj hi ise change kar le or fast loading template ko apne blog par upload kare. fast loading template na hone se humare blog ki loading bhi slow ho jati hai or humara blog open hone me bahut time lagata hai. slow loading hone se readers blog par aana pasand nhi karte. Readers na aane se blog par traffic ana band ho jayega jo blog ke liye nuksan dayak sidh ho sakta hai.
Isliye me kahta hun agar ap bhi slow loading template use kar rahe ho to ise jaldi se change kar le kya pta apke blog par high traffic na aane ka karan apki slow loading template ho.
Fast loading template hone se humara blog fastly open hota hai.apko pata hai readers apni information ke liye blog par visit karte hai.ager humara blog slowly open hoga to humare readers kisi dusre blog par jana pasand karenge . isliye templates fast loaing honi chahhiye taki humara blog fastly open ho jisse readers ko apni information jaldi se mil jaye or unhe kisi aur blog par jane ki jarurt na pade.
Me apko top 3 templates websites ka name btata hun jinse ap fast loading templats ko free me download kar sakte ho
1.btemplate
2.goyaabetemplate
3.soratemplates.
Ye top 3 websites hai jo blogger blog ke liye free me template provide karti hai.
4. Make Blog Simple Design
apne blog ka design simple rakhe. bahut se blogger aise hote hai jo apne blog ko bahut colurfull bnate hai. Apne blog par deep, bold colur ka use karte hai . jyada bold deep colur ka use karne se log jab apke blog par visite karte hai to unhe kayi parshaniyo ka samna kana pad sakta hai hai,blog par jyada deep colur use hone se humare readers ki eyes ko nuksan ho sakta hai. heavy deep colur se readers apke blog par nhi ate jisse hame treffic nhi milta isliye apne blog par 4 se jayda culor ka paryog na kare Or janha tak ho sake blog ko simple look design de . jyada tar apne blog par black, blue and red in 3 colur ka use hi kare. ye culer eyes catchy hote hai.
apne blog par humesha light colors use kare jo eyes catching ho. taki humare readers ki eyes ko koi nuksan na ho or light color use karne se readers humare blog par aate hai jo humare blog par treffic ko badhate hai.
5. Search Description
Search description me humari post ki short information hoti hai. search description me hume yah btana hota hai ki hum apni is post me kya de rahe hai or kiske bare me likhi gayi hai , hume Apni post ki informatoin short me deni hoti hai. Taki readers ko pata chal sake ki post me kya diya gya hai. simple words me hanhu to . search description ko likhne se humre readers ko yah pata chal jata hai ki is post me kya knowledge diya hai
Jab hum blog post par post ki short description likhte hai to hume high ranking bale hindi ya english words ko is description par likhna chahiye. aisa karne se humara blog search engine par top me aata hai.
Jab humari post searchlist me aati hai to hamre blog tital ke sat niche short description show hoti hai ab readers is description ko padh kar apki post par visit karte hai .ab jitne aapke visiter honge utna hi apka high traffic badhega.isliye apni post par search description ko jarur likhe.
6. Image Optimization
Blog post Image ko full optimized kare kiun ki jab hum post likhte hai to us post keliye hume emages ki jarurt hoti hai Or hum image ko download karte hai or apni post par add kar lete hai. jis emage ko hum download karte hai bo old name , version bali hoti hai isliye yah emage full seo optimization nahi hoti yah old name par hoti hai agar hum apne post par aisi image ko dalte hai to iska humari post ke sat koi tal-mel nhi hota aisi photo post me na ke braber hoti hai . isliye hume image ki purani details ko badlana hota hai taki hum us image ko apni post ke hisab se optimized kar sake.
Hume apni image ke old name ko badhlana hota hai or us image ka alta tag set karna hota hai
Or ik bat kahna chahunga ki ham jis photo ko apne post par add karte hai bo humari post ke 1000 chreckters ke brabar hoti hai matlav," 1 photo post ke 1000 creckter ke braber hota hai ( 1 image = 1000 chrackters ) ager hum apne photo ko bilkul sahi trike se optimized karte hai to humari post search me ache rank par aati hai. post ko acha rank milne se humare blog ko high treffic milta hai
Isliye apni post Image ko sahi tarike se seo optimized kare
7. Heading And Labels
heading ka hona kisi bhi articles ke liye jaruri hota jaruri hai, readers humari heading ko pad ke hi humari post par aate hai. post ki top heading, h1, h2, h3 ka sahi se use hone se humari post search me top par aati hai. jab koi readers blog par ata hai to bah humari top heading line ko padh kar hi humare blog post par aate hai apni post ko search par high rank par lane ke liye post par heading ko jarur likhe heading bold black color se likhe taki search engine ko jaldi pata chal jaye ki apke blog se kis post ko search kiya ja raha hai
Labels blog me hona bahut jaruri hota hai kiun ki jab koi readers humare blog par aate hai to beh apni post ke liye labeles ko use kar sakte hai. hume ek post par kam se kam 2-4 lebals add karne chahiye. humare blog par bahut labels hone chahiye taki readers jo help chahte hai unhe bo jaldi se mil jaye or iske karan beh humare blog par jayda time tak rukenge or fir humare ko high treffic bhi milenga.
8. Social Promote
apne blog ko social media par share kare. social media blog par high traffic pane ka sabse easy rasta hai. social media se hum apne blog ke liye ture readers pa sakte hai. social media par twiiter facebook sabse famous hai ap blog ko in me share karke apne blog ke liye high traffic pa sakte ho. in do ke alava bhi bahut aisi site hai jo social media me bahut famous hai. social media world famous hai ager hum apne blog ko is par share karte hai to hume apne blog ke liye readers world se milte hai jo ek achi bat hai Or isse humara blog world famous ho sakta hai . isliye apne hindi blog par world se readers or high taffic pane ke liye apne blog ko social media par share & promote kare.
9. Collect Back Links
Blog par high traffic pane ke liye hume dussre blog site se apne blog ke liye back link ko collect karna chahiye. hume apne blog le liye back links ko humesha top blog se hi collect karne chahiye kiun ki aisa karne se hume un blog ke back links ke sat-sat unke readers bhi milte hai.
Back links ko jaldi hum tabhi pa sakte jab koi top bloggers apne blog par post share karta hai or hum unke blog par sabse pahle 1-4 no. par comment karte hai or kisi readers ki help karte hai to hume us site se back links milte hai. jo humare blog ka traffic badhate hai
10. Comments On Top Blogs
Mene apko pahle bhi btaya hai ki agar hum high traffic bale kisi top blog par comment karte hai to hume banha se apne blog ke liye readers or high traffic milta hai. isliye top blog par comment kare . top high traffic bale blog par comment karne se hum apne blog ke links ko unke comment par dal sakte hai, in links par click karke unke readers humari site par aate hai. jisse unke readers humare readers bhi ban jate hai
Kisi dusre sites par comment karne se hume un sites se bank links milte hai jo humari blog traffic ko bhadhate hai . isliye apne blog par high traffic lane ke liye top blog par comment kare
11. Writing Skill
Bloging me writing skill ka hona bahut jaruri hota hai. writting hi ek jariya hai jisse hum logo ko apne hunar, koshal dikha sakte hai bare me bta sakte hai ki hum kya hai jisse. blogging me writing skill ki sabse jyada jarurt hoti. blogging par hum likh kar hi dussro tak apni information ko pahuncha sakte hai. agar hum me likhne ka skill nhi hoga to hum blogging me success nhi ho sakte. isliye hume blogging me sabse pahle apne likhne ke skill ko sudharna chahiye.
agar hum post ko ache skill ke sat likhte hai aur readers ko humare likhne ka skill acha lagta hai to beh readers humare blog par bar-bar visit karte hai , jisse humare blog ka traffic badta hai
12. Write Full Detailed Long Articles
full detail long articles likhne me apna pura time de kiun ki readers ko full jankari pasand ati hai readers aadi aduri jankari pasand nhi karte. readers blog par apni puri information ke liye aate ager ap unhe full detail articles likh kar nhi doge to be apke blog par aana hi chod denge. isliye ap apne articles me full jankari de taki readers ki help ho sake
Apne blog articles ko long me likhe ho sake apni post par 1500-2000 shabdo ka use kare
long articles likhne se apka blog search engine me top par show hota hai or ap yeh samjh hi sakte ho ki jo post top par hoti hai usko kitna traffic milta hai. world me 90 % log search engine ki top ki post par hi click karte hai. isliye apni post ko long or full detail me likhe
13. Write Quality Articles
apne blog par high traffic pane ke liye hume quality articles likhne chahiye. ager hum apne blog par 1 bhi quality articles likhte hai to humara 1 quality articles bhaki 100 articles ke braber hota hai. agar hum quality articles likhte hai to humare blog ko high readers milte hai jo humare blog par high traffic late hai
Quality articles se matlab aisi post jiski logo ko jayada jarurt hai or search engine me sabse jyada search ki ja rahi ho aisi poast se hai. isliye hume apne blog par quality articles likhne chahiye.
14. Don't Forget SEO
seo ko kabhi na chode ye humare blog ki jaan hoti hai inke bina humari post search me top par nhi aa sakti. kiun ki seo hi ek aisa trika hai jinke davaraa hum apni post ko search me top par la sakte hai. kai nebie blogger seo ko jhod dete or apne blog post ko seo nhi karte jinka unhe nuksan udhana padta hai me apko bta dun agar ap seo par focus nhi karoge to ap blogging me kabhi sufal nhi ho sange kiun ki seo hi ek jariya hai jiske sahare hum apne blog ko search me high rank par laa sakte hai or seo hone se post ko jyada readers milte hai jo humare blog traffic ko badhate hai
isliye hume apni post ko likhte time seo par full focus karna chahiye or apne blog par keval full seo post hi pablish kare.
15. Focus One Particular Area
Matlav apne blog par keval kisi ek vishesh topic par hi information share kare. kuch bloggers apne blog par bahut topic par information dete hai. ager hum sab jankari 1 blog par share karte hai to hume apne blog ke liye regular readers nhi milte. matlab ager humari post tech topic par hai or hum usme health, supports etc topic ki information ko bhi share karte hai aise blog ko regular readers milna bahut mushkil hota hai. apne kabhi socha hai ki humare top bloggers kisi ek topic par hi information kiun date hai. bo isliye kiun ki unhe regular readers chahiye hote hai.
Isliye ager ap bhi apne blog par high traffic pana chahte ho to kisi ek particular topic par hi post share kare jisse hume regular reders milenge or humara traffic bhi badega
16. Make Best Talent
Blog par post likhte time apne talent ka istemal kare blog post ko simple bnaye taki readers ko padhne or sumjhne me asani ho or apne likhne ke andaz ko better kare. blog post ko apne talent se likhe. kayi bloggers khud post na likh kar dussre kisi bloggers ki post ko copy karke apne blog par paste kar lete hai.aisa na kare kiun isse apko readers nhi milte kuin ki google ko pahle hi pata chal jata hai ki apki post copy ki hui hai or google copy ki hui post ko nhi dikhata isliye hume aisa nhi karna chahiye isliye hume humesha apni post ko apne talent se likhni chahiye.
17. Use High Ranking English Words
Apni post par high ranking english words ko hi use kare.high ranking words ko use karne se humari blog search me top par aati hai jab ap koi post likhte ho to ap us post se releted english words ko search kare jo words search par sabse uper top par aa rahe ho un words ko apni post me add kare
High ranking word ko post par keval 1.5% se jyada istemal na kare ap soch rahe honge ki in word ko kanha par use kare me bta deta hun in top ranking words ko tital,search description, H1,H2,H3 or puri post me add kare ( janha jaruri ho bahi use kare matlab post me high ranking words 1.5% se jyada use na kare) . post ke starting or ending me bhi in words ka paryog kare ye ek seo tips hai inhe follow karne se apko bahut labh hoga. post search me top par aati hai jis se blog par readers aate hai or jisse apke blog ko high traffic milta hai
Isliye apni post me high reanking english words ko jarur add kare.
18. Don't Make Many Blogs
Bahut se bloggers ka bloging me success na hone ke piche yahi karn hai ki beh bahut jayeda blog bna lete hai ,jab new bloggers, apna new blog bnate hai hai to beh uske sat khuch aur blogs bna lete hai. fir blogging ko start karte hai beh sochte hai ki , jitne jyada blog bnayenge utni jyada earning karenge. beh sochte hai ki beh blogging me asani se success ho jayenge likin aisa nhi hai blogging me bahut blogs me success hona bahut mushkil hota hai isliye ap is khabab ko chod de ki blogging me asani se success ho sakte isliye agar ap ek blog bnate ho to apka focus ek hi blog par rahega or agar ap uspe acha traffic late ho to ap usse achi earning bhi kar paoge.
Aisa na bilkul na kare, keval 1 hi blog bnaye us par puri mehnat se kam kare jitni mehnat ap bahut blog bnakar un par karne ki sich rahe the agar ap utni hi mehant kisi ek blog par karoge to apko blogging me success hone se koi nhi rok sakta.
19. Work On Blog Full Time
Apne blog par full time work kare ager ap bloggers ho or blogging karte ho likin ap full time blogging nhi karte to apko success hone me 5 se 10 sal tak lag sakte hai kuch log shochte hai ki blogging me koi bhavishiya hi nhi hai fir bo blogging karke kya kare. likin ab aisa nhi hai blogging me kayi blogger 1 lack monthly se upper kamte hai ager unone bhi yahi socha hota to aj bo is jagha par hote or kya hum unka name le rahe hote .
Agar ap blogging ko puri honestly , dhariya ke sat karte ho to bo din dur nhi hoga jab apki ginti bhi un top bloggers me ki jayegi
Ager ap full time blogging nhi kar sakte ho to hafte me 1-2 matlav 3-4 din me ek artical jruru likhe
Ya ek mahine me 2 se 4 qulity contant jarur likhe .quality articles likhne se hume kya fayde hote hai ye to ap jante hi honge or isse bhi blog update rahta hai blog update rahne se blog ko high traffic milta hai.
20. Reply On Your Comments
Apni post par kiye huye comments ka reply jarur kare kiun ki readers humse help chahte hai Hum apne readers ki help jitni jaldi karte hai utne readers humare blog par aate hai unhe pata hota hai ki is blog me unki help ki jayegi ,comment ka reply milega to beh readers apni helps ke liye humare blog mpar visit karte rahenge. comment karne se hume pata chalta hai ki humare readers humse kya helps chahte hai matlav readers ko aur kis cheej ki help chahiye bo hume comment ke jariye bta dete hai. is tarha comment se hume logo ki pasand ki post, topic ke bare me pata chal jata hai. ki boh kiske bare me help chate hai .
Readers ko reply milne se bo apke blog par bar bar visit karte hai jisse blog traffic badta hai.
Final words
last final words me apko bas itna hi kaunga ki ap uper diye huye in most usful 20 tips ko agar dhayan se inka use apne blog par karte ho to apko blogging me success hone me koi nhi rok sakta.
blogging help ke liye is blog par visit karte rahe. is blog par blogging helps se related posts share ki jati hai
apko meri helppost achi lagi ho to is post "New hindi blog par traffic kaise badhaye top most usefull 20 seo tips." ko social media par jarur share kare aur koi information ke liye comment kare







