This blog about social network help,online help and tricks, online tips and tricks,all tech solution,setting full info,help and trick in hindi.

Showing posts with label Theme. Show all posts
Showing posts with label Theme. Show all posts

28 July 2018

Blogspot Blog Ki Theme Ko Responsive Mobile Friendly Kaise Banaye

Blogspot blog website ki theme template ko responsive mobile friendly banane ki jankari : Blogger google ki ek free service hai jo hume free website ya blog banane ki suwidha deta hai. Blogger free platform hone se ispar bane blog ko  free blog  bola jata hai. Google in free blog ko normal feature, seo setting karke deta hai. Jo humare blog ke liye kafi nahi hota. Isliye hume apne blog ko full seo costomize karna hota hai, yah kaam all bloggers ke liye important hota hai. 

blogspot blogger blog theme template ko mobile friendly kaise banaye

Blogger blogging me seo setting ki bahut important hai aur aj hum seo setting ke sabse important me se ek "blogger blog ki theme template ko responsive mobile friendly kaise banaye" ke bare me janege. 
Is seo setting ko all bloggers use karte hai. Kiun ki ek achi theme blog ko  acha look, disign karke deti aur blog ko seo customized karti hai.

Newbie bloggers ho ya older bloggers, theme setting all bloggers karte hai. Agar aap ek  blogger ho to aap achi tarha  jante honge ki theme blog ko kya banati hai. Ek good seo theme ke bina blogger blogging me success hone ke bare me soch bhi nahi sakta. Isliye ek good quality theme ko google se download karke apne blog me lagaye.
But newbie bloggers ko blog seo, blog customize, blog theme etc ka pata nhi hota. Beh bina kisi blogging seo setting knowledge ke blogging start karte hai. Yah  badh me unke blogging  career ke liye harmful  hota hai. Isliye me kahta hun ki blogging karne se pahle blog ki important setting karni chahiye. Hume apne blog ko full Seo friendly banana chahiye. Full seo blog me hi apne artical post publish karne chahiye

Agar aap blogger blog ki seo setting good method se sikhna chahte ho to is post me di gayi information ko dhiyan se padhe. Yah post newbie and older bloggers ke liye hai. jo apne blogspot blogger blog ki theme ko responsive mobile friendly kaise banaye ke bare me nahi jante to aap is helpfull post se apne blog ki theme ko mobile friendly banaye.

Blogspot  New Blog Ki Normal Setting Kiun Karta Hai

Jab new blog banate hai to bo bilkul new hota hai. Blogger Format us  blog me normal setting  karke rakhta hai. Google Blogger blog free me banata hai. Esliye hume normal service di jati hai. Baki bachi huee blog seo friendly banane ki setting hume kudh karni hoti hai.bnaya ja sake. Blogger blog ki theme template ko mobile friendly banana bhi ek seo setting hai.

Blogspot Blog  Mobile Friendly Hai Ya Nhi Kaise Pata Kare

Agar aap pta karna chahte ho ki apka blog  mobile friendly hai ya nhi to aap pta kar sakte ho. Iske liye apko mobile-friendly test website ko search engine me search karke iss site ko open karke apne blog  ka Url dal kar apne blog  ki information  paa sakte ho or is site se apko apne blog  ki theme mobile friendly hai ya nhi ki full information mil jayegi.
Sabse pahle
mobile-friendly test
ko google par search kare uske baad apke samne  ek popup window page khulega jis par  apko apne blog ka URL dalna hai. or uske bad ye likha hua aaye-
       Awesome ; This page is Mobile friendly.
  Ye  likha hua  aaye to  apka blog  mobile friendly hai or apke liye blog theme tamplate setting karna utna important nhi hai. Lakin agar ap fir bhi setting karna chahte ho to ap kar sakte hai. Yah setting vese bhi sabhi bloggers ke liye important hoti hai.


Agar apke blog ki theme template mobile friendly nhi hai to apke liye yah setting karni bahut important hai. Iss setting ko  karke ap apne blog ko mobile friendly bana sakte ho or Yah ek seo setting hai. 

Blogger Blog Ki Theme Ka Responsive Mobile Friendly Hone Se  Fayde

  • Humare blog ka traffic badhta hai.
  • Mobile devices par hi desktop theme bahut asaani se show hone lagti hai.
  • Readers ko post read karne me problem nhi aati.
  • Blog all platform jaise computer, laptop, tablet aur mobile etc..par properly show hoga. Koi content hide & cute nahi hoga.
  • Loading speed fast ho jayegi.
  • Responsive and mobile friendly blog search engine optimization me jaldi aur top me rank karta hai. Humare visitor ke liye better rahta hai.

Blogger Blogspot Blog Website Ki Theme Tamplate Ko Mobile Friendly Kaise Banaye

Google ke free platform blogger blogspot  par banaya gaya blog website ki theme template ko mobile friendly or responsive banane ke liye hume subse pahle blogger.com  par  ja kar apne blog me sign in karna hoga. 


Step 1. Theme

blogger blog theme ko mobile friendly kaise banaye













1.Blog ke left side dashboard par theme ke option par click kare.
2.  Ab blog ke right side mobile version ke niche setting icon button par click kare. Ab ek popup window show hogi. Jisme hume mobile version theme ko choose karna hoga.

Step 2. Choose Mobile Version Theme

blogger blog theme ko mobile friendly kaise banaye



1."No. show desktop theme on mobile devices". option par click kare.

2. Save button par click karde. Save button par click karte hi humare blogger blog ki desktop theme mobile devices par show honi start ho jayegi.

Congratulation...
In simple step ko follow karke hum apni blogger blog ki theme template ko responsive mobile friendly bana sakte hai.Ab humara blogger blog user, seo, visitor, reader, responsive aur mobile ho gaya hai. Isske baad humare blog par jayada traffic ayega aur visitors humare blog ko like karenge


Umeed karta hun apko yah post helpfull lagi ho or isse apki help hui ho. agar aap online, blogging, internet ki jankari chahte ho to ap is blog par visit karte rahe. Kiun me blogging se related topic ki post is blog me publish karta rahta hun.


Finely humne  iss post se jana ki  apne "Blogger blogspot blog ki theme template ko responsive mobile friendly kaise banaye".

05 July 2018

Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites Ki Jankari

Apne new blogger blog ke liye template download karne and blog ki free template download karne ki top 10 websites ki jankari: Agar ap apne new blog ke liye template download karne ke baare me soch rahe ho or ap templates download karne ki top 10 websites ki jankari dundh rahe ho to ap is post ko dhayan se padhe.

blog ke  liye  template download karne ki top 10 websites
Jab ap blogger par koi naya blog bnate  ho to  blogger  us blog  ke liye free template deta hai blogger jo free template deta hai bo simple or purani hoti hai jiske karan blog ko nya look nhi milta or kai weghet, category  ko blog par add nhi kiya ja sakta jisse blog ko nuksan hota hai  or blog bhi purana dikhta hai jo apke viwers ko pasnd nhi ata isse apke visiters bhi  kam kam ho sakte hai


apne blog ko ache design me dekhna kisko pasand nhi hota sabhi blogger apne blog ko acha design karte hai. lakin kayi new blogger apne  blog ke design ki setting nhi karte jiske karan unka blog utna acha nhi  lagta or unhe  blog design setting ki  jankari bhi kam hoti to meri yah post unhi  blogger ki help ke liye hai   me un blogger ko btana chahunga ki agar ap apne blog ko acha design karte hai  to apke blog ka treffic badta hai aur apke visiters apke blog ko pasand karte hai 

me apko btana chahunga ki jab ap blogger par apna nya blog bnate ho to ap jo template  select karte ho bo bahut purani hoti hai jis karn apke blog ko purana look milta hai or  ye purana look apke blog ke visitor ko pasand nhi aata aur yah  apke blog ke success  me badha dal sakta hai .isliye apko blog ko nya look daine ke liye apne  blog ki purani template ko chang karna padega . nayi tamplate me apko kai nye feature milenge.Jo  blog ko unique look dega jisse visiters  apke blog par ana pasand karenge. Jo blog ki life ke liye jaruri  hai

template  ko blog par upload karna  design setting ka hi hisa hai 

new template blog ko acha look dati hai or   sat-sat me blog ke liye bahut sare feature, category  bhi deta hai aur kayi tamplate to full seo ready hoti hai jisse hamara blog  khudbekhud seo  ready ban jata hai

apne blog ko acha look dane  ke liye hame achi website se template ko download karna hoga  apko achi   free template kis website se milegi bo jankari mene apni is post me di hai 

Template Kya  Hai Aur Iska Blog Par Kya Kam  Hai

Template ka blog me apna alg kam hota hai. Yah blog ko design karta hai aur blog ko kis tarha se dikhana hai yah dikhta hai. Template blog ke nye featuer, category aur budget ko blog par show karta hai. Isliye apne blog ko acha design dane ke liye apko achi template hi download karni hogi. To ab ap samjh hi gye honge ki template  ka blog me kya kam hota hai  aur yah kiun  jaruri hoti .

Apko Blog Ke Liye Template 2 Triko Se Milti Hai

Kayi template websites free me template ko dati hai. Lakin khuch ayesi bhi websites hai jo paise le kar template dati hai

Template 2 triko se milti hai

1.  Custom Template :

Is trha ki templates ko paise dekar kharida jata  hai

              or

2.   Free Template :

Is trha ki templates muft me milti hai jinhe ap free website se  download karke blogger par upload kar sakte hai 

Blogger Blog Ki Template Ko Change Karne Fe Fayde

1. Blog ko acha or unique look milta hai.2. Man chahi tamplate-

Ap apne blog me manchahi manpsand template ko  upload kar sakte ho iske liye ap apni icha ke malik hote hai isme ap apni manmargi  se koi bhi template kisi bhi website se download kar sakte ho iske liye apko puri savtantrata milti hai

3. customize template

Ap achi template ko choose karke  use apne hisab se apne blog par set kar sakte ho aur apne blog par naye featuer category or whaget ko  apne hisab se customize kar sakte ho

4. Achi template hone se visiter  akarshit hote hai or  blog par pahle se  bhi adhik visiters ate hai  jo blog ki health ke liye  achi bat rahti hai

Top Free Template Website list for blogger blog

Yanha khuch free website hai Jo blogger blog ke liye free me template download karne  ki subhida ko daite hai  in sab website ke templates me bahut  sare feature,categary,tool  etc hai ye sabhi templates kisi bhi blog ko unigue look dati hai 

1.  Sora Template :                                 

Yah website blog ke liye free template dati hai. yah  site CSS3 file me bani hai jo blogger ke liye template bnane ke liye bani hai. iski templates   stylist feature bali hai . Jinhe ap esly blog par setup kar sakte ho. download karne se pahle ap iski   demo ko dekh le iski tamplate mobile friendly,seo ready or responsive hoti hai. yah ak bahut achi template site hai .

2.  Urang Kurai :

Yah site blog ko unigue look deti hai .is site ki template me kayi nye feature hai .iski ek visheshta hai ki iski template unigue hone ke karan blog ko nya unique look deti hai

3.  Deluxe Template :

Is template site ki khasiyat yah hai ki iski template me bahut cetegary hoti hai. jaise apka blog Tach blog hai to apko tach se related hi kayi template mil jayegi ya fir  apka blog health se hai to apko health se related kai template mil jayegi.

iske left side me apko template tool mil jate hai agar ap  3 Clomns ko choose karna chate hai to ap isme kar sakte ho

4.   PB Template :  

Is site me bhi apko template ki kai cetegary mil jayegi. isme apko footer set kaise hoga or bo kis trha ka hoga iski puri detail di hoti hai. is me coulur  sidebar, columns , more cetegary tamplate or others tools  hote hai

5.   Uong Jome :

Yah khud blogger platform par bani template website hai ap iske piche ka domain blogspot ko dekh sakte ho . yah bhi  blogger ke liye free template  deta hai

6. Gooyabitemplate :


Gooyabitemplates   ek template website hai yah blogger ko no.1  template deta hai  . is website  ki sari template  seo ready  hai. isme keval meta tage ko set karna hota hai .iski templstes white, seo ready, ads ready,drop down menu, cleen,social bookmark ready, slideshow,post thumbnails or  2-5 tak ke cloumns footer aur  mobile responsive milegi.yah template ki sabse achi website hai.

7. New Blogger Themes :


Is website par apko mobile ready, seo ready,social share option ke sat kuch or tools bhi hai. apko iske feature  ko dekh kar hi template ko download karna hoga.

8. Spicy Tricks :


Apko is website me topic se related template mil jayegi.agar apka topic health care par hai to apko health se related template mil jayegi . is website me magezine,news,cars,social sharing , app, iphone ke liye template milti hai.  

9. My Blogger Themes :

Yah website  apko 2-4 tak ke right sidebar me 4-4 clumns deta hai.

10. Best Blogger Template :

Isme apko khuch ache feature milenge. is website ki template fast loading hai or fast loading template ko visiter bahut pasand karte hai 

11.Design Scrazed :

Iske nam se hi pata chalta hai ki yah full design template deti hai agar ap full design template chahte ho to ap yanha se download kar sakte ho

12. Fresh Design :

Is website ki template  website ki tarha hoti hai yah  blogger,  wordpress or website ke liye template dati hai agar apko blogger ki codeing nhi aati hai to ap ise apne blog par use kar sakte ho

13. Theme Forest :


Is website me apko free or custom dono parkar ki template mil jayegi. yah apko kam paiso me achi template deta hai.






To ye hai top 13 free template website Jo free me blog ke liye template deta hai. In sabhi se ap achi  template download karke apne blog par add kar skate ho.                

Blog par Free Template ko Install Kaise kare

Blogger sirf   XML file hi accept karta hai isliye  XML file me bani template hi choone 

Blogger par template 2 tarha se upload kiya jata hai.

1. code2. file upload

Ap in dono option me se kisi ek se apni template ko blogger par upload kare.

Dhyan Rakhe-

Ap apni new template ko blogger par upload karne  se pahle  apni purani template ka back-up download karke rakhe taki  ager blogger apki template ko ya fir  apko bapas apni purani template par ana ho to ap duvara se usi template ko upload kar sakte ho . back-up apke blog ki template ki suraksha ke liye hoti hai

Yah hai meri post apko ye kaisi lagi or me asha krta hun ki apko meri yah post achi lagi ho aur me age bhi Hindi me tach tips or blogging ki setting se related  post is blog par likhta rahunga . online help ke liye is blog  par visit karte rahe

Agar ap mujh se blog ke liye template download karne ki top 10 websites me kisi parkar ki help chahte ho to comment kare and post achi lage to share jarur kare. 

18 June 2018

Blogger Blog Ki Template Ko Change And Upload Kaise Kare

Blogger blogspot ke blog website ki template theme ko change and upload kaise kare ki jankari: Agar ap blog ki free template ko use kar rahe ho aur ap is se khush nahi ho aur apne blog me new template ko upload karna chahte ho. But ap nahi jante ho ki  blog ki template ko change and upload kaise kiya jata hai aur iski jankari  ki post search engine me dundh rahe ho to ap sahi jagah par hai yah post esi topic par hai. Ap is post ko ache se read karke aur in simple step ko follow karke apne blog ki new template ko easy se upload kar sakte ho.

 blog ki template ko change  or upload kaise kare


All bloggers chahte hai ki unka blog subse stylish,good looking and attractive ho. Jo humare readers ko acha lage. Hume blog ko stylish banane ke liye search engine se good feature and tool bali template ko dundhna hota hai. Khuch websites blogger blog ke liye free ki template provide karti hai. Jinke bare me niche bataya gaya hai. Ap in website se apne blog ke liye free template download kar sakte ho.

Blog Ki Template Blog Ke Liye Kya  Kaam Karti Hai

Me apko pahle hi bata dun ki template humare blog ko design karti hai. Yah humare blog ko online kaise dikhana hai or users ke samane kis design me show karna hai ka kaam karti hai. Template blog ki body ka kaam karti hai. Isliye hume apne blog ke liye ek achi template ko upload karna chahiye. But  newbie blogger aksar apne  blog me new version ki template upload kiye bina hi blogging start kare hai aur khuch time badh search engine se good traffic na milne par blogging ko chod dete hai.

Blogging chodne ka karan hota hai template ka old version hona. Jise search engine ignore karta hai. Humare blog ki template old hone se humara blog bhi old lagta hai. Readers old look blog ko like nahi karte aur unhe humari post padhne me maja nahi ata aur beh humare blog me aana band kar dete hai. Jisse humareblog ka traffic me lose hota hai. Good looking template humare blog ke liye unique traffic lata hai. Isliye hume appne blog ki template ko change and upload karna chahiye

Agar apne new blog bana liya hai or ap apne blog par new template ko upload karna chahte ho to me apko batana chahunga ki ap sahi kar rahe ho. Ap blog ki template ko change jarur kare or kisi ache design, look,seo bali template ko apne blog par upload kare. Blog ki template ko change karne  se humare blog ko unique, new look milta hai. Yah apke blogging safar ke liye helpfull rahta hai. Blog ko acha look milne se log humare blog par jyada aate hai aur pasand karte hai aur humare blog  ka traffic badhne lagta hai. Isliye hume blog ki template ko change and upload kar lena chahiye.

Free Template Download Karne Ki Kuch Websites

Kafi sari ayesi websites hai jo blog ke liye free template provide karti hai. But me apko top 4 free templates websites ke bare me bata deta hun. Jisse apko aasani ho jayegi .

www.gooyaatemplate.comwww.sortemplate.comwww.btemplate.comwww.webdesignrazzi.com

Ap In websites se apne blog ke liye free and custom dono parkar ki templates download kar sakte ho. Aur ek achi template download karke apne blog par upload kar sakte ho.
  • Templates ke Kuch jaruri feature (visheshta),tool,seo,mobile responsive,etc,  visheshta ko  dekh kar hi ap templates ko downloud kare. taki bad me apko templates me koi kharabi na mile.isliye pahle hi sab check kar le

Template Download Karne Se Pahle Template Ke Khuch Jaruri Feature Check Kar Le 

1. Mobile friendly:

Is feature ka humari template me hona sabse jaruri hota hai. Kiun ki India me blog par sabse jayada taffic mobile se aata hai. India me log laptop, pc, tab etc... ka kam use karti hai. Jiske karan humare blog me mobile se aane bala taffic maximum 90% hota hai. Isliye blog ki Template ka mobile friendly hona bahut important hota hai. Template ka mobile friendly hone se humari desktop version bali template mobile  version par easy se show hoti hai.

2. Seo friendly :

Blog ki tamplate full seo friendly honi chahiye. Taki humara blog search engine me jaldi show ho aur search me top rank bhi hasil kar sake. Isliye hume blog ki template ke seo feature ko dhyan me rakh kar hi template ko select karna chahiye. 

3. Fast download :

Template fast download honi chahiye. Isse humara blog and post google search engine me jaldi show hoga. Search engine apne first page me fast download template bale blog ko high rank deta hai. Search me top rank milne se hume jyada viewers milte hai. Jisse humara traffic badhta hai. Blog fast download hone se jaldi show hota hai. Jisse humare viewers ko blog par aane me koi preshani nahi hogi.

Blogger Blog Ki Template Ko Change And Uploud Kaise Kare

Apne blogger blog ki template ko change and upload karne ke liye  hume sabse pahle  blogger.com ki website me login karna hoga. Uske badh apne blog screen ke lift side dashboard par jaye.

1. Template ya theme option par click kijiy.

2. Ab screen ke right side top par Bachup/Restore par click kijiye.


blog ki template ko change and upload kaise kare


Ab ek pop-up window open hogi. Ab yanha apko 3 option show honge.
blog ki template ko change and upload kaise kare

i.   Downloud full template :

First option download full template me hume apni purani template ko download karna hoga. Kiun ki yah theme humare blog ki security ke liye use hoti hai. Agar new theme ko upload karte time error aaye to hum is download ki hui theme ko duvra se blog par upload kar sakte hai. Jisse humare blog ki security bani rahti hai.

ii.   Choose file 

Yanha hume apni download ki hui template ko select karna hai. Jisko humne  pahle hi download karke rakha hai. Is option se hum apni pasand ki download template ko choose kar sakte hai.

iii.   Ab upload file button par click kar dijiye .

Upload par click karte hi apki website blog ki template blogger par upload ho jayegi. Ab apke blog ka look, design change ho chuka hai. Ab ap dekh sakte hai ki apka blog pahle se aur bhi jyada acha, attractive dikh raha hoga.

I Hope, apko yah post helpfull lagi ho. Agar apko blogger blog ki template ko change and upload karne me abhi bhi koi problem aarahi ho to ap mujhse comment me puch sakte ho. Me apki help karne ki puri koshish karunga.Agar apko yah post helpful lagi ho to ise apne social media platform me apne dosto ke sat jarur share kare taki apki bajah se kisi aur ki help ho jaye.

16 June 2018

Blogger Template Ki Zip File Ko Xml File Me Kaise Badle

Blogger blog ki theme template ki zip file or rar file ko xml file me kaise convert kare ki jankari:Jab ham google ke free platform blogger par apna blog banate hai to blogger humare blog ke liye free template provide karta hai. Yah  template xml file ki bani hoti hai. Kiun ki blogger platform only xml file ki bani template ko support karta hai.  Isliye hum apne blogger blog par xml file bali template ko hi  upload or use kar sakte hai. Blogger platform  xml file ke alava zip or rar files ko support nhi karta. Isliye hume zip or rar files bali templates ko blogger par upload karne se pahle in files ko xml file me convert karna padta hai. Is theme setting ke bare kayi bloggers ko pata nahi hota. Jiske karan unhe blogger par download new theme ko upload karne me problem aati hai.

zip file ko xml file me kaise badle



Jab hum new template download karte hai to bah templates zip files or rar files ki bani hoti hai. Ayesi files se bani templates ko blogger support nhi karta. Isliye hume zip or rar files se bani templates ko blogger par upload karne se pahle xml file me badlna hota hai. Uske bad hi hum apni new template ko blogger par asani se upload kar sakte hai.

Template ki zip, rar files ko  xml file me badlne ke liye hume winRAR software ki jarurt padti hai aur hum is software ki help se  easy step follow karke template ki zip file ko xml file me convert kar sakte hai. 

                 


WinRAR Kya Hai ?

 zip file convert to xml file me









Winrar software ek free software hai. Yah file converter ka kaam karta hai.
Is software ka size 4-5 MB  hai. Is software ko ap kisi bhi search engine se download kar skte ho.

winRAR software download kaise kare

WinRAR Software Se Template Ki Zip File ko Xml File Me Kaise Badle

Subse pahle ap jis template ki zip file ko xml me convert karna chahte ho use winrar software par open kare.

Step 1.

Ab is tarha ka page open hoga. Isme "Extract to" option par click kare.


zip file ko xml file me kaise badle

Step 2.

Ab ek popup window open hogi. Niche photo ke anusar setting kare.

how to convert zip file to xml file

 1.Update mode 

Is option me Extrect and update files par click kare.

ii.  Overwrite mode  

 Yah par Rename automatically par click kare.

iii. Ab ok par click kar de

Jaise hi ap ok par click kar denge to ek popup window open hogi. Isme apse yas ya no ke liye pucha jayega. Ap yas par click kare. Khuch seconds me apki template ki zip file xml file me convert ho jayegi. Ab apki template ke name se ek folder bana hoga. Ise open kare.


zip file ko xml file me kaise badle

Folder open karte hi bahut sari files show hogi. Inme xml file bhi hogi. Hum is xml file ko blogger me use kar sakte hai.


zip file ko xml me kaise badle

Apni xml file ki template ko blogger me upload karne ke liye is post ko read kare.

Agar apko template ki zip file ko xml file me badle me pareshani ho rahi ho to comment karke puche me apki help karne ki puri koshish karung.

I Hope, apko yah post helpfull lagi ho. Agar apne is post ko like kiya hai to ap ise apne social media  platform par apne dosto ke sat share kare taki apki bajah se kisi ki help ho jaye.