This blog about social network help,online help and tricks, online tips and tricks,all tech solution,setting full info,help and trick in hindi.

16 June 2018

Email Id Kaise Banaye - Google gmail Par

Apni personal email id kaise banaye and google ke free platform gmail par apni id kaise banaye ki jankari : Aj ka time technology ka hai or technology  bahut speed se grow kar rahi hai. Iska asar humari life par padhta hai. Isliye hume iske sath hi grow karna hota hai. Aj ke time me sab kaam online hote hai. Online work karne ke liye hume email id ki jarurat padhti hai. Isliye aj sabke pas email id ka hona bahut jaruri hai.
email id kaise banaye google gmail par
Aj humare bahut se kaam bina email id ke ho pana bahut mishkil hai. Isliye ap apni email id banaye. Agar apne abhi tak apni email id  nahi banai hai to ap is post se apni  email id kaise banaye ki jankari le sakte ho.
Vese to free email id banane ki bahut sari websites hai. But log mostly google, yahoo, microsoft etc... popular website par hi apnai free email id banate hai. Kiun yah sab website achi security deti. But aj hum is post se janege ki google ke free platform gmail par apni email id kaise banate hai.

Email kya hai ?

Purane time me hum letters deliver karne ke liye post office ka use karte the. Jisme humara bahut sara time lag jata tha. But ab letters deliver karne ke liye hum email id ka use karte hai. Email se letters send karne safe, easy, free and save our time etc... karta hai.
Email id ko banane se pahle hume email id kya hai iske bare me janana chahiye. E-mail ka pura name electronic-mail hota hai. 
Means hum internet medium se ek jagah se dusri jagah tak apne letters, massage and kisi parkar ka data bhi send kiya jaye email kahalata  hai.
Jab internet nahi tha to tab hum apne letter ko page par write karke inhe post office me dete the. Letter ke upar apna name and jisko bhejna hai uska name and address write karna hota hai. Uske badh post office bale us letter ki pahchan karke use deliver karte hai.
But aj internet ke time me apne letters ko bhejana assan ho gaya hai. Hume apne letter ko bhejne ke liye us parson ka email is chahiye hoti hai jisko letter bhejna hai or hum ek click se apne letter easy se bhej sakte hai.
Aj ke time email id ka hona bahut important hai. Isliye apni email id banaye.

Email Id Kiun Jaruri Hai  

Aj email id ka use har jagah hota hai. Hume email id se bahut sare kam karne padhte hai. Humari email id ka use school ,college, bank, office, interview etc...har jagah par hota hai. Humari email id  secure hoti hai. Jisme humara data save rahta hai. Yah humara net address hota hai aur net ki security and feature ko use karne ke liye email is jaruri hoti hai. Iske bina hum net ka use nahi kar payenge. Isliye net ke ache use and other feature ke liye hume apni email id banana bahut jaruri hai. Apni email id kaise banaye chaliye sikhte hai.

Email Id Kaise Banaye - Google Gmail Par


Step 1: Sabse pahle gmail.com par jaye.

Apne browser par jaye or gmail.com ko search kare. Ab gmail.com ki website ko open kare.

Step 2: Create an Account.

Gmail ki website ko open karte hi ek page open hoga. Isme hume create an account ke button par click karna hai.
email id kaise banaye google gmail par

Step 3: Apni full details fill up kare.

Is page par hume apni puri jankari bharni hoti hai. Isme hume apna name,password,username etc bharna hota hai. Humara user name subse unique hona chahiye jo kisi ke pass na ho.Is page ko is tarha se fill up kare.

a) Name : Yanha par apna name bhare or uske badh dusre box me apna surname.

b) Choose username : Is option me apna user name bhare. Means jis name se ap apna email id banana chahte ho us name ko bhare. But apka username sabse unique hona chahiye. Jo kisi or ne na liya ho. Kiun ki gmail apke username se hi apki email id ko pahachanta hai. Isliye apna username different rakhe.Ap apne name or word  ko milakar bhi apni email id bana sakte ho.


c) Create password  : Yah option apke email ko secure rakhta hai. Isliye apna password strong rakhe. Jisko apke sivaye koi or nahi khol paye.

d) Conform password : Isme hume apna password ko conform karna padhta hai. Jo password uper likha hai use hi duvara yanha par likhe.

e) Birthday fill up : Yanha apko apni Birthday ki date bharni hogi. Isme apni birth ka day, month, year ko bhare.

email id kaise banaye google gmail par
                                                  next pic niche di gayi hai

f) Choose your Gender : Yanha hume apna Gender choose karna hai . Ap male, female, other and rather not say me se apna gender bhar de.

g) Mobile number bhare : Isme hume us mobile number dalna hoga. Jise hum use karte ho. Kiun is number par hume gamil ki se ek code massage aayega. Jo ek verify code hoga. Issi code se hum apni email id conform karte hai.

h) Current your email address : Agar apke pass email id hai to use yanha par bhare. Kuin agar hum apne password ko bhul jate hai to  hum isse apni id ko recover kar sakte hai. Agar ap new email id bana rahe ho to is option ko khali hi rahne de.

i) Choose location : Isme hume apni location set bharni hogi. Agar ap india se ho to location me india bhare.

j)  Ab next step par click kare.

email id kaise bnaye

Step 4: Privacy and term : 

Next step par click karte hi apke samane privacy and term ka page open hoga. Is page par gmail ki privacy and term ke bare me bataya hoga. Ise ache se read karne ke badh last me I Agree ke button par click kar de.
email id kaise banaye

Step 5: Welcome Massage :

Is page me apko google gmail team ki taraf se welcome massage aya hoga. Isko padhke continue to gmail par click kar de .
email id kaise banaye

Step 6: Ab ap email inbox par jaye. Isme google gmail ki team ne  apko ek email bheja hoga. Isko read kare kiun ki isme google gmail ke email ke kya feature and security hai ki full details batai hoti hai.

Ab apki email id gmail par ban kar teyar hai. Ab ap apne email id se dusre logo ke sath massage and data ko send kar sakte ho and  other feature, online me email ka use kar sakte ho.
I hope, is post se apki help hui ho. Agar apko apni email id kaise banaye google gmail par banane me abhi bhi koi problem aaye to ap comment karke puch sakte ho me apki help karne ki puri koshish karunga.
Agar apko yah post helpfull lage to is post ko social media par apne dosto ke sath jarur share kare. Jisse unki bhi help ho sake.

No comments:

Post a Comment