This blog about social network help,online help and tricks, online tips and tricks,all tech solution,setting full info,help and trick in hindi.

16 June 2018

Blogger Template Ki Zip File Ko Xml File Me Kaise Badle

Blogger blog ki theme template ki zip file or rar file ko xml file me kaise convert kare ki jankari:Jab ham google ke free platform blogger par apna blog banate hai to blogger humare blog ke liye free template provide karta hai. Yah  template xml file ki bani hoti hai. Kiun ki blogger platform only xml file ki bani template ko support karta hai.  Isliye hum apne blogger blog par xml file bali template ko hi  upload or use kar sakte hai. Blogger platform  xml file ke alava zip or rar files ko support nhi karta. Isliye hume zip or rar files bali templates ko blogger par upload karne se pahle in files ko xml file me convert karna padta hai. Is theme setting ke bare kayi bloggers ko pata nahi hota. Jiske karan unhe blogger par download new theme ko upload karne me problem aati hai.

zip file ko xml file me kaise badle



Jab hum new template download karte hai to bah templates zip files or rar files ki bani hoti hai. Ayesi files se bani templates ko blogger support nhi karta. Isliye hume zip or rar files se bani templates ko blogger par upload karne se pahle xml file me badlna hota hai. Uske bad hi hum apni new template ko blogger par asani se upload kar sakte hai.

Template ki zip, rar files ko  xml file me badlne ke liye hume winRAR software ki jarurt padti hai aur hum is software ki help se  easy step follow karke template ki zip file ko xml file me convert kar sakte hai. 

                 


WinRAR Kya Hai ?

 zip file convert to xml file me









Winrar software ek free software hai. Yah file converter ka kaam karta hai.
Is software ka size 4-5 MB  hai. Is software ko ap kisi bhi search engine se download kar skte ho.

winRAR software download kaise kare

WinRAR Software Se Template Ki Zip File ko Xml File Me Kaise Badle

Subse pahle ap jis template ki zip file ko xml me convert karna chahte ho use winrar software par open kare.

Step 1.

Ab is tarha ka page open hoga. Isme "Extract to" option par click kare.


zip file ko xml file me kaise badle

Step 2.

Ab ek popup window open hogi. Niche photo ke anusar setting kare.

how to convert zip file to xml file

 1.Update mode 

Is option me Extrect and update files par click kare.

ii.  Overwrite mode  

 Yah par Rename automatically par click kare.

iii. Ab ok par click kar de

Jaise hi ap ok par click kar denge to ek popup window open hogi. Isme apse yas ya no ke liye pucha jayega. Ap yas par click kare. Khuch seconds me apki template ki zip file xml file me convert ho jayegi. Ab apki template ke name se ek folder bana hoga. Ise open kare.


zip file ko xml file me kaise badle

Folder open karte hi bahut sari files show hogi. Inme xml file bhi hogi. Hum is xml file ko blogger me use kar sakte hai.


zip file ko xml me kaise badle

Apni xml file ki template ko blogger me upload karne ke liye is post ko read kare.

Agar apko template ki zip file ko xml file me badle me pareshani ho rahi ho to comment karke puche me apki help karne ki puri koshish karung.

I Hope, apko yah post helpfull lagi ho. Agar apne is post ko like kiya hai to ap ise apne social media  platform par apne dosto ke sat share kare taki apki bajah se kisi ki help ho jaye.

3 comments:

  1. Awesome Guys, I like your effort, that's why here i want to share this online converter with you;

    Easy Convert Files

    ReplyDelete
  2. This is my first time i visit here. I found so many interesting stuff in your blog especially its discussion. From the tons of comments on your articles, I guess I am not the only one having all the enjoyment here keep up the good work zip file opener

    ReplyDelete